Wednesday, April 24, 2024
02:55 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Sunday, June 27, 2010
qayym's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: Wah Cantt
Posts: 569
Thanks: 1,082
Thanked 843 Times in 342 Posts
qayym is a glorious beacon of lightqayym is a glorious beacon of lightqayym is a glorious beacon of lightqayym is a glorious beacon of lightqayym is a glorious beacon of light
Default Mohabbat Oss ki surat

MOHABBAT OSS KI SURAT
pyasi pankhari k hont ko sairaab karti hay
gulon ki aastinoon main anokhay rang bharti hay
sahar k jhatpatay main gungunati muskurati hay
mohabbat k dino main dashat bhi mehsoos hota hay
kisi firdos ki surat.......................mohabbat oss ki surat

MOHABBAT ABAR KI SURAT
dilon ki sarzamin pay ghir k aati aur barasti hay
chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay muskurata hay
azal ki bai namoon matti main sabza sar uthata hay
jo dil hian qabar ki surat...................mohabbat abar ki surat

MOHABBAT AAG KI SURAT
bhujay sino'n main jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
mohabbat ki tappish main kuch ajab israr hotay hain
keh ..jitna yeh bharakti hy ,uroos-e-jan mehakti hay
dilon k saahilon pay jama hoti aur bikharti hay
mohabbat jhaag ki surat.....

MOHABBAT KHAWAB KI SURAT
nigahon main utarti hay kisi mahtaab ki surat
sitaaray aarzu k is terhaan say jagmagatay hain
k pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
tu shaakhain jaag uthti hain
thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain
tu kab ki muntizar aankhon main........shammain jaag uthti hain
mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
mohabbat aag ki surat

MOHABBAT DARD KI SURAT
guzishta mosamon ka ist'aaraah ban k rehti hay
shabaan-e-hijar man roshan sitarah ban k rehti hay
mandairon par charaghon ki lo'yen jab thartharati hain
nagar main na umeedi ki hawayen sansanati hain
gali main jab koe aahat koe saya nahi rehta
dukhay dil k liye jab koe bhi dhoka nahi rehta
ghamon k bojh say jab toutnay lagtay han shaanay tu
yeh oun pay haath rakhti hay
kisi hamdard ki surat
guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
fizaa man tairti hay dair tak......yeh gard ki surat
mohabbat dard ki surat
__________________
Hai ghanimat kay israr-e-hasti sai hum
Bay khabr aaie hain, bay khabr jaien gain
Q A
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Humien Tum Sey Mohabbat Hai Last Island Urdu Poetry 0 Tuesday, April 20, 2010 08:22 PM
Mohabbat Chup Nai Rehti The Star Urdu Poetry 2 Thursday, January 08, 2009 09:05 PM
Mohabbat Faryal Shah Urdu Poetry 0 Saturday, November 24, 2007 05:34 PM
Mohabbat hoo he jate hai... sardarzada11 Urdu Poetry 2 Saturday, June 03, 2006 08:39 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.