CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Meray Sahir teri aankhain yeh kesa dard rakhti hain (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/36065-meray-sahir-teri-aankhain-yeh-kesa-dard-rakhti-hain.html)

Last Island Thursday, July 08, 2010 07:05 AM

Meray Sahir teri aankhain yeh kesa dard rakhti hain
 
[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B]Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa Dard Rakhtii Hain
Inhen Likhney Ki Khwahish Mein
Meri Qalam Thaki Kitna
Inhen Parhney Ki Chahat Mein
Meri Aankhen jali Kitna[/B][/SIZE][/FONT]

[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B]Main Likh Likh Kar Teri Aankhien
Suanta Tha Jo Dunya Ko
Zamana Rukti Saanson Mein
Teri Aankhon Ko Sunta Tha
Zamaney Doob Jatey They
Jo Tujh Ko Yaad Rakhtey They
Wo Khud Ko Bhool Jatey They[/B][/SIZE][/FONT]

[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B]Kisi Shab Ki Sa’at Mein
Teri Aankhon Sey Soya Tha
Tou Jitney Khwaab Bhi Dekhey
Main Pehron In Pey Roya Tha
Teri Aankhon Sey Takra Kar tou
Sapney toot Jatey Hain
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa Dard Rakhti hain ?
[/B][/SIZE]
[COLOR=black][B][SIZE=3]Yeh Sapney Orh Bhi Lein to
Kisi Tabeer Ka Sooraj
Inhien Soney Nahi Daita
Kisi Sheeshey Sey Manzar Par
Teri Aankhien jo Uth jaien
Wo Sheesha Zard ho Jaaye
Misaal e dard ho Jaaye

Teri Aankhon Ki Mehroomi
Kisi Chehrey Ki daulat Sey
Kyon Janey Kum Nahii hoti
Yeh Sadiyon Ka Safar Orhay
Laraztii Narm Palkon Mein
Zamana Saaz Si Aankhien
Na Janey Kab Sey Pathar hain
Kyun Janey Num Nahi hotien[/SIZE][/B][/COLOR]
[/FONT]
[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B]Yeh Socha Tha Kabhi Main Ney
Yahi Kuch Main Ney Socha Tha
K Chahon to Faqat Eik Lams Dey Kar Hi
Inhien Phir Sey Jagga Daalon[/B][/SIZE][/FONT]
[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B] Main Is GumSum Sey Pathar Ko
Mehaz Choo Kar Rula Daalon
Main In Aakhon Mein Likha Dard
Mohabbat Sey Mitta Daalon[/B][/SIZE][/FONT]

[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B]Magar Jab Roo-Baroo Paaya
Teri Aankhon Ko Meri Jaan
Teri Aankhien Meri Aankhon Mein
Jaisey Jazb Hotii Thi

Main Khud Ko Bhool Baitha Tha
Mujhey Tum Yaad Rehtey They[/B][/SIZE][/FONT]
[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B]Teri Aankhon Key Dukh Darya
Meri Aankhon Sey Behtey They

Meri Aankhien Bhi Ab Bilkul
Teri Aankhon Sii Lagtii Hain
Wohii Hasrat Wohii Wehshat
Wohi Chup Chaap Pathar Sii
K Jiss Manzar Pey Uth Jaaien[/B][/SIZE][/FONT]
[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B]Aseer e Dard Kar Jaaien[/B][/SIZE][/FONT]

[FONT=Book Antiqua][SIZE=3][B]Main Jab Sey Soch Mein Gum hoon
Mujhey Kuch Tu Hii Samjha Dey
Meray Sahir Teri Aankhen
Yeh Kaisa Dard Rakhti Hain ??[/B][/SIZE][/FONT]

Saad Khan Thursday, July 08, 2010 08:42 AM

Hey Last Island you are getting sadder day by day.

Plz plz plz dont delet my post.ok.

I want to ask who wrote this poem or whatever it is.

Nice to see you hale and hearty and sad too.I feel like killing

that stupid worthless girl who rumoured about you.

never leave this forum,i am afraid you will delet my post but any way

i have said whatever i wanted to say.and plz answer my very very important query about this poem.

Last Island Thursday, July 08, 2010 04:13 PM

:)

I have no idea who wrote this poem.


07:40 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.