CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai keh tum ho (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/3684-jis-samt-bhi-dekhoon-nazar-aata-hai-keh-tum-ho.html)

Rejuvenated Thursday, May 18, 2006 09:25 PM

Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai keh tum ho
 
jis simt bhee daikhon nazar ata hai k tum ho
ay jan-e-jahan ye koi tum sa hai k tum ho

ye khawab hai khushbu hai k jhonka hai k pal hai
ye dhund hai badal hai k saya hai k tum ho

iss deed ki sa-at main kai rang hain larzan
main hoon k koi or hai dunya hai k tum ho

daikho ye kisi or ki ankhain hain k meri
daikho ye kisi or ka chehra hai k tum ho

ye omer-e-gureezan kaheen thehray to ye janon
her sans main mujh ko yehi lagta hai k tum ho

her bazm main mozo-e-sukhan dil zadgan ka
ab kon hai sheereen hai k laila hai k tum ho

ek dard ka phela howa sehra hai k main hoon
ek moj main aya howa darya hai k tum ho

wo wakt na aye k dil-e-zar bhee sochay
is shehir main tanha koi mujh sa hai k tum ho

abad hum ashafta siron say nahi maktal
ye rasm bhee iss shehir main zinda hai k tum ho

ay jan-e-faraz itni bhee tofeeq kisay thi
hum ko gum-e-hasti bhee gawara hai k tum ho.


01:29 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.