CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Mohabbat hoo he jate hai... (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/3871-mohabbat-hoo-he-jate-hai.html)

sardarzada11 Saturday, June 03, 2006 02:29 AM

Mohabbat hoo he jate hai...
 
Mohabbat ke nahi jaate mohabbat hoo he jaate hai
Diyar-e-ishq main kaate hai lambi zindgi hum ne
Hazaroon ashiqon se do ba do yeh guftgo ke hai
Her eik aashiq ne samjhaya
Hamare tajarbe ne hum KO sikhlaya
Samajh main bus yahi aaia
Mohabbat ke nahi jaate mohabbat ho he jaate hai
Mohabbat kiya hai
Dil ka zehn se kuch guftgo kerna
Kabhi choonay KO neelay asman ke arzoo kerna
Mohabbat ke nahi jaati mohabbat hoo he jaate hai
Mohabbat kiya hai jo de dey zulaikha KO javani bhi
Mohabbat heer ke laila ke majnoo ke kahani bhi
Hai aise aag yeh jis KO bujha PAYE Na pani bhi
Mohabbat ke nahi jaate
Mohabbat ho he jaate hai


Regards,
Sardarzada

pinki Saturday, June 03, 2006 08:28 AM

what modern young man thinks about love
 
meri zindagi de char din lang jan gay
kuray teray naal nahin kisse hor naal sahi
tenoon nakhray wikhan di tay lod kkoi nahin
menoon kudian di shehar wich thod koi nahin
tenoon husan tay apany gharoor kina si
too na sochia ghareeb majboor kina si
meray khat meray samnay toon chid phar kay
kiwain hasdi ain kaleja mera too saad kay
kinna ghatia toon phone te jawab dita si
main te piyar naal tenun ik gulab dita si
teri zid neri akhan da anhair ban gai
too menoon chand mar kay ki delair ban gai
hun mery kol paisain di thor koi nahin
tenoon nakhray wikhan di lod (zaroorat) koi nahin
menoon kali k kuri(girl)nain propose kita ay
main wi ohnoon muhabatan da tuhfa dita ay
odha rang roop doodh tay malai werga
odha lehja meri niki barjhai werga
odha kad buot meray naal mail khawanda
sanoon wekh kay zaman sara sar janda
gal mukdi mukawan ohda jor koi naan
tenoon nakhray wikhan di te lod koi naan

pinki Saturday, June 03, 2006 08:39 AM

ik hamsafar acha laga
 
himmat_e Aali ko main be baal_o_pur acha laga
aansuon main muskarany ka hunar acha laga
manzalon ki baat choro kis nain paai manzilain
ik safar acha laga ik hamsafar acha laga
soch ker chunni main nain aakhri aaram gaah
main tha matti aur mujhy matti ka ghar acha laga
akal ki matak juda hay dil ki hay matak aur
jiss ka saaya ghair k ghar tha shajar acha laga
aa bassi jo aankh main soorat dil_o jaan ban gai
JO LAGA ACHA MUJHY UMAR BHAR ACHA LAGA


06:58 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.