CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Meri Pasand (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/41349-meri-pasand.html)

Farrah Zafar Sunday, November 21, 2010 06:42 PM

Meri Pasand
 
[B]chaara'sazon kee chara'sazee se,
dard badnaam tou nahi hogaa,
haan dawa do magar yeh batlaa do,
mujhay araam tou nahi hogaa?[/B]

(Jaun Elia)

Farrah Zafar Wednesday, November 24, 2010 08:04 PM

[B]har ek harf-e-arazu ko dastan kiye hue
zamana ho gaya hai un ko mahaman kiye hue

surur-e-aish talKhi-e-hayat ne bhula diya
dil-e-hazin hai bekasi ko hijr-e-jan kiye hue

kali kali ko gulistan kiye hue vo ayenge
vo ayenge kali kali ko gulistan kiye hue

sukun-e-dil ki rahaton ko un se mang loon
sukun-e-dil ki rahaton ko bekaran kiye hue

vo ayenge to ayenge junun-e-shauq ubharane
vo jayenge to jayenge tabahiyan kiye hue

main un ki bhi nigah se chhupa ke un ko dekh loon
k un se bhi hai aj rashk bad_guman kiye hue

Ada Jafri
__________________[/B]

Farrah Zafar Thursday, December 02, 2010 10:33 PM

[center][b][size="3"]کس موڑ پر ملے ہو ؟

وہ خواب کا زمانہ
وہ رُوپ کا خزانہ
سب کچھ لُٹا چکے ہم
یہ جسم و جاں جاناں
کس موڑ پر ملے ہو ؟

کیا نام ہے تمہارا
کس نام سے پُکاروں
کس طرح تجھ کو جیتوں
کس طرح تجھ کو ہاروں
کس موڑ پر ملے ہو ؟

دروازہ کیسے کھولوں
دستک نہ دو خدارا
یہ قفلِ قیدِ ہستی
قسمت پر کس کو یارا
کس موڑ پر ملے ہو ؟

اب دل کی وادیوں کے
جُگنو بھی سو چکے ہیں
خوابوں کے سب جزیرے
ویران ہو چکے ہیں
کس موڑ پر ملے ہو ؟

مڑ کر بھی آنا چاہوں
مڑ کر بھی آ نہ پا ؤں
دامن بچانا چاہوں
دامن چُھڑا نہ پاؤں
کس موڑ پر ملے ہو ؟[/size][/b][/center]

Farrah Zafar Sunday, December 05, 2010 12:38 PM

[B][I]Us Ne Kaha Aao,
Us Ne Kaha Thehro,
Muskaoo Kaha Uss Ne,
Mar Jao Kaha Uss Ne,


Main Aaya...
Thehra...
Muskaya...
Aur Mar Bhi Gaya! [/I][/B]

[B][U]Poet. Faiz Ahmed Faiz
[/U][/B]

Farrah Zafar Tuesday, December 07, 2010 07:09 PM

[B][I][COLOR="Green"]tarap rahi hai her ik tamanna na tum se miltay na aisa hota,
bujhi bujhi si hai dil ki dunya na tum se miltay na aisa hota,

hm aisi mehfil mei kesay jayen?jahan k manzer hamen jalayen,
ager hai jalna,jalen gy tanha na tum se miltay na aisa hota,

na chain aye na maut aye,jee rahay hain na mer rahay hain,
kahan tha pehlay ye haal apna NA TUM SE MILTAY NA AISA HOTA.........[/COLOR][/I][/B]

Farrah Zafar Wednesday, December 08, 2010 09:42 PM

[B][I][COLOR="Green"]"Mohabbat ka asar ho ga Ghalat fehmi men mat rehna

Wo badley ga chalan apna Ghalat fehmi men mat rehna

Tasalli bhi usey dena ye mumkin hai men laot aaon

Magar ye bhi usey kehna Ghalat fehmi men mat rehna

Mohabbat ka bharam toota hai ab chhup chhup k rootey ho

Tumhen main ne kaha tha na Ghalat fehmi men mat rehna"[/COLOR][/I][/B]

Farrah Zafar Wednesday, December 15, 2010 07:49 PM

[COLOR="DarkOrchid"][B][I]Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai

Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum

Tumhare Waste Dil Main Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin

Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai[/I][/B][/COLOR]

Farrah Zafar Monday, December 27, 2010 11:23 AM

[B][I][COLOR="Purple"]Ek Baar hi Jee Bhar k saza Q nhi dety,

Mai Harf-e-Galat hon to mita Q nhi dety ?

Moti hon to Daman mein Piro Lo Mujhe Apne,

Aansu hon to Palkon se Gira Q nhi dety

Saaya hon to Sath na rkhny ki waja keya ?

Pathar hon to Rasty se Hatta Q nhi dety[/COLOR][/I][/B]

Farrah Zafar Wednesday, December 29, 2010 03:24 PM

[B][I][COLOR="Magenta"]Kuch kehna tha, usy bhi aur mujhe bhi
Us ne ye chaha mien kuch kahon,meri yeh zid ke baat wo kare.


Yehi sochty sochty zamane beet gaye,

Na us ki ana tooti, Aur na meri zid

Us ki ana faseel thi, toh meri bhi chattan,



Ana aur zid ke issi tazad mein,

Safer-E-Zindgi youn hi rawa raha.

Waqt kat-ta raha, dard barhta raha,

Aur safer ikhte-tam ko ponhcha

Ikhte-tam e safer ye raha.


“Meri ankhon meinhalki si nami ,

Aur shayed us ki zindgi mein thori si kami.

Us ki ana shikast khurda,

Aur meri zid reza reza[/COLOR][/I][/B]

Farrah Zafar Friday, December 31, 2010 12:26 PM

[B][COLOR="Sienna"]December tum mat aaya karo
Suno k
Jab bhi tum aate ho
Udasiyon ki undeikhi
BARISHON MEIN DIL KO BHIGHO DEITE HO
Tum aate ho to...
Barfeeli si tanhaiyon ki
Sard hawa kantton ki tarah
Rag-e-jaan mein chubhne lagti hai
Aur akayle pan mein
Dukh jaag kar
Neendon ko nigel jate hein
Aur jo apne..
Judaai ki dhund mein.. Kho gaye hein
Hum se buhat door ho gaye hein
Unki yaad.. phir se aane lagti hai
"Suno December" Tum mat aaya karo!!![/COLOR][/B]


04:20 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.