CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   yadoon se rishta (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/4165-yadoon-se-rishta.html)

rabi Friday, June 23, 2006 11:16 AM

yadoon se rishta
 
Yaadon Sey Rishta Kal Bhi Tha, Yaadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha, Dil Afsurdaa Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein, Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana, Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai

Woh Sahil Woh Mitti Geeli, Mitti Ke Gharondey Sahil Per
Sahil Ki Bipherti Mojoon Se, Gharondon Ko Bachana Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil ka Sahara Kal Bhi Tha, Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein, Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Aankhon Mein Jo Kal Tak Tha, Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna, Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmayaa Tha, Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai

Muskan Ghuman Saturday, June 24, 2006 03:05 AM

Salam Rabi,

Good selection.....:clap

[QUOTE=rabi]
Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna, Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmayaa Tha, Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai[/QUOTE]

[B]Koi rusta to ho Ankhun ko dukh main paar lugnai ka
Sumandar dai dia hai to kinara keun nuhin daita
Sur-e-tukmeel-e-ghum bii aik shikwa hai mera uss sai
Wo aadha cheenta keun hai,sara keun nhin daita[/B]

Keep sharing.
Regards,
Muskan


09:33 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.