CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Shab-e-Firaq (Nasir Kazimi) (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/4172-shab-e-firaq-nasir-kazimi.html)

Khuram Friday, June 23, 2006 08:22 PM

Shab-e-Firaq (Nasir Kazimi)
 
[FONT="Century Gothic"][COLOR="Blue"][SIZE="3"]Terey Khayal Se Lao De Utthi Hai Tanhai;
Shab-e-Firaq Hai Ya Teri Jalwa Aarai;

Tu Kis Khayal Mein Hai Manzilon Ke Shadai;
Unhein Bhi Dekh Jihein Raaste Mein Neend Aayi;

Pukkar Aey Jaras-e-Karwan-e-Subh-e-Tarab;
Bhattak Rahi Hai Andheron Mein Terey Sodayi;

Rah-e-Hayat Mein Kuch Marhale To Dekh Liye;
Ye Aur Baat Teri Aarzoo Na Raas Aayi;

Ye Saniha Bhi Muhabbat Mein Barha Guzra;
Ke Os Ne Haal Bhi Poocha To Aankh Bhar Aayi;

Phir Os Ki Yaad Mein Dil Beqarar Hai Nasir;
Bicchar Ke Jis Se Hui Shahar Shahar Ruswai;[/SIZE] [/COLOR][/FONT]


03:16 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.