Thursday, April 18, 2024
07:48 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Thursday, July 14, 2005
MOHIUDDIN's Avatar
Banned
 
Join Date: May 2005
Location: Lahore, model town
Posts: 71
Thanks: 0
Thanked 76 Times in 17 Posts
MOHIUDDIN is on a distinguished road
Default Waqt Be Waqt Ki Baat

SALAM

HUM KIA GAYE, KEH RANG E MEHFIL BADAL GIA.....?
YAHAN TO KHOOB ADBI QISM KI MEHFILEN IN.EQAD HOTI LAGTI HAIN. TO BHALA HUM KEYON DOOR RAHEN....LIJIYE...DAIKHYE TO.....!!!


ghazal kahna
kisi sachi mohabat ki judai per
dukhon ke darmiyan reh ker
wafa ki nazm likh lena
abhi mumkin nahi

abhi mumkin nahi
hijr ke mousam ki ankhon se
kisi ke wasl ki baaton ke haathon per
dua ke harf parh lena
abhi mumkin nahi

abhi mumkiin nahi
khushbu ke chaand chehroon per
kisi khushbu ke rangoon ka bikher jana
mehek uthna
abhi mumkin nahi

abhi mumkin nahi
shehr shaam dushmanaa_N ki
wahshat namehrbaan mien phir
mohabat ka biyaan karna
abhi mumkin nahi hai



AUR YEH KEH


yeh jo fiza naward hai aankhon ke paar CHAAND
bichharDe huwon ka dard hai aankhon ke paar chaand

utra tha ik ajeeb sa khadsha milan ki raat
ab tak kaheen pe zard hai aankhon ke paar chaand

aandhi koyi thehar si gayi hai fizaaon main
shab bhar se gard gard hai aankhon ke paar chaand

shaaid woh phir udaas raha hai tamaam shab
dekho to kitna sard hai aankhon ke paar chaand

pheli hai yoon tumaari muhabat ke ab hamain
har soo har aek fard hai aankhon ke paar chaand


ABHI KUCH AUR BHI....


wo dabi dabi si muhabatain mujhe yaad hain
tere pyar ki sabhi uljhanain mujhe yaad hain
tera lamha bhar ka wo roothna na bhula saka
teri pal do pal ki adawatain mujhe yaad hain


MAZEED KUCH HO JAYE....??
to theek hai,....!!

Uss se kehna key
kabhi hUm sey milney chala Aaye
hamarey gaon main jo raasta tha
raaste meain peird thay
peirdon meain jitni tairon ki toliyan
ham sey mila karti theen
woh ab urdtey urdtey thak gayi hain..


haan to ab YEH BHI....


Kis Ko Fursat Hey

Key Mujh Sey Behas Karey

Aur Sabit Karey

Key Mera Wajud

Zindagi Key Liye

Zaruri Hey....


aur ab "KISI KO" bulana hai.....


Udaas Shameen, Ujrey Rastey, Kabhi Bulain
To Lout Aana

Kisi Ki Ankhon Main Rangoon K Azab Aaen
To Lout Aana

Abhi Nai Vadiyan Naey Nazaron Main Reh Lo
Mager Meri Jaan...!!!
Yeh Sarey Aik Aik Kar K Jab Tumhin Chor Jain
To Lout Aana

Jo Shaam Dhaltey Hi Apni Apni
Panah Gahon Ko Loutay Hain
Ager Woh Panchi Kabhi
Dastaan Sunain
To Lout Aana

Naye Zamano Ka Qarb Orrey
Zaief Lamhey, Nidhaal Yaadien
Tumharey Khaboon K Band Kamrey
Main Ager Jo Aaen
To Lout Aana

Ager Andheron Main Chor Ker Tum Ko
Bhool Jain Tumharey Saathi
Aur Apni Khatir Hi Apny Apny Diyey Jalen
To Lout Aana

Meri Woh Batin Jin Pay Beikhtiar
Tum Hanstey Thay Khilkhila Ker
Bicharny Waley Meri Woh Batin Kabhi
Tum Ko Rullaen
To Lout Aana

Bicher Kay Mujh sey Anchall
Kabhi Udaas Ho To Lout Aana
AkelayPan Ki Udaas Raatin
Na Kut Saken
To Lout Aana

Parraye Logon Main Kon Tum Ko
Siwaye Meray Manna Sakey Ga
Kissi se Yun Mazaq Ya Jhagrey
Main Routh Jao,
To Lout Aana
Reply With Quote
Reply

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tum mere dil mein samao to koi baat bane qayym Urdu Poetry 0 Monday, September 22, 2008 02:43 AM
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi Sureshlasi Urdu Poetry 0 Tuesday, October 30, 2007 04:20 PM
Aik baat kahoon gar suntey ho? samreen Urdu Poetry 1 Thursday, May 10, 2007 11:57 PM
Kuch aur baat hotii Wounded Healer Urdu Poetry 1 Thursday, January 25, 2007 11:17 PM
...... to baat mushkil thi Last Island Urdu Poetry 0 Wednesday, January 24, 2007 03:49 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.