CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   shikwa bhi kis liye jo shukar kar nahi saktey. (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/44810-shikwa-bhi-kis-liye-jo-shukar-kar-nahi-saktey.html)

Abar e Rehmat Sunday, February 13, 2011 06:58 PM

shikwa bhi kis liye jo shukar kar nahi saktey.
 
[CENTER][COLOR="DarkRed"][SIZE="4"][FONT="Book Antiqua"]hum hijar k rasty pr safar kar nnahi saktey
eik lamha tere bin basar kar nahi saktey

wo akhri lamhoon main mjhe mang raha hai
yeh wakt hai aisa k uzar kar nahi saktey

hum iss liye Khuda se khafa ho nahi saktey
[B][COLOR="Navy"]shikwa bhi kis liye jo shukar kar nahi saktey
[/COLOR][/B]
khud hath se apney osse khona hi parey ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi saktey

yun apni nigahoon ko chura letey hain tujh se
k dil k iradoon ki khabar kar nahi saktey

tum khawab jalatey rahe hum aj tak chup they
ab dil k yoon jalney pr hum sabar kar nahi saktey

yeh ankh andheroon main hovi piyas ka sehra
is noor k darya pr sabar kar nahi saktey

har chand k meri ankh main ansoo hain larztey
jaltey hovey sholey pr asar kar nahi saktey

jab chahin ge tu bandh lain gey tumhain apni nazar se
kis ne kaha k hum sehar kar nahi saktey........[/FONT][/SIZE][/COLOR][/CENTER]


01:14 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.