Shikwa e Quran.
[CENTER][COLOR="Black"][FONT="Book Antiqua"][SIZE="4"][B]QURAN KA SHIKWA[/B]
takoon main sajaya jata hoon ankhoon se lagaya jata hoon taweez banaya jata hoon dho dho k pilya jata hoon juzdan hareer o resham ke aur phool sitarey chandi ke phir itar ki barish hoti hai phir khushbo main basaya jata hoon jis tarh se totta maaina ko kuch bol sikhaye jate hain is tarh parhaya jata hoon is tarh rataya jata hoon jab quol o kasm lene k liye takrar ki nobat aati hai phir meri zarorat parti hai phir hathoon main uthaya jata hoon din souz se khali rehta hoon ankhain hain k num hoti hi nahi kehne ko main aik aik mehfil main parh parh kar sunaya jata hoon naiki pe badi ka ghalba hai sachai se barh kar dhoka hai aik bar hansaya jata hoon sou bar rolaya jata hoon yeh mujh se aqeedat k dawey qanoon pe razi ghairoon ke youn bhi mujhe ruswa karte hain aise bhi sataya jata hoon kis bazm main mujh ko bar nahi kis urss main meri dhoom nahi phir bhi main akeela rehta hoon mujh sa koi mazloom nahi.[/SIZE][/FONT][/COLOR][/CENTER] |
10:24 AM (GMT +5) |
vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.