CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Ab kis se kahain aur kaun sunay (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/48428-ab-kis-se-kahain-aur-kaun-sunay.html)

brillientminds Thursday, April 28, 2011 10:29 AM

Ab kis se kahain aur kaun sunay
 
[B][COLOR=darkred]Ab kis se kahain aur kaun sunay jo haal tumhare baad huwa[/COLOR][/B]
[B][COLOR=darkred]Is dil ki jheel si aankhoon mein ek khwaab bahut barbaad huwa[/COLOR][/B]

[B][COLOR=darkred]Yeh hijr hawa bhi dushman hai us naam ke saaray rangoo ki[/COLOR][/B]
[B][COLOR=darkred]Woh naam jo mere hontoo per khushboo ki tarah abaad huwa[/COLOR][/B]

[B][COLOR=darkred]Is shehar mein kitne chehray thay kuch yaad nahee sab bhool gaye[/COLOR][/B]
[B][COLOR=darkred]Ek shaks kitaboo jaisa thaa woh shaks zubaani yaad huwa[/COLOR][/B]

[B][COLOR=darkred]Woh apne gaoon ki galeyaan theen dil jin mein naachta gaata thaa[/COLOR][/B]
[B][COLOR=darkred]Ab is se farq nahee parta nashaad huwa ya shaad huwa[/COLOR][/B]

[B][COLOR=darkred]Be-naam sataish rehti thee in ghehri saanwli aankhoon mein[/COLOR][/B]
[B][COLOR=darkred]Aisa tu kabhi socha bhi na thaa dil ab jitna be-daad huwa... [/COLOR][/B]


06:56 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.