CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Daikhay Hi Nahin Wo Labb o Rukhsaar Wo Gaisuu .. (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/48449-daikhay-hi-nahin-wo-labb-o-rukhsaar-wo-gaisuu.html)

Stunner Sunday, May 01, 2011 09:00 PM

Daikhay Hi Nahin Wo Labb o Rukhsaar Wo Gaisuu ..
 
[FONT="Comic Sans MS"][SIZE="3"][COLOR="Black"]

Daikhay Hi Nahin Wo Labb o Rukhsaar Wo Gaisuu,
Bass Ek Khanakti Hui Aawaaz Ka Jaaduu,
Hairaan o Pareshaan Liye Phirta Hai BeHar-Suu ..

Paaband e Tasawwur Nahin Wo Jalwa e Betaab,
Ho Door To Jugnuu Qareeb Aaye To Khushbuu,
Lehraaye To Sho'la Hai Channak Jaaye To Ghungruu ..

Baandhay Hain Nigaahon Ne Sadaaon K Bhi Manzar,
Wo Qeh-Qahay Jaisay Bhari Barsaat Mein Kuu-Kuu,
Jaisay Koi Qamri Sar e Shamshaad Labb e Juu ..

Aye Dil Teri Baaton Pe Kahan Tak Koi Jaaye,
Jazbaat Ki Duniya Mein Kahan Soch K Pehluu,
Kab Aaye Hain Fitraak Mein Wehshat Zada Aahuu ..

Maana K Wo Labb Hon Ge Shafaq Rang o Sharoor Khuu,
Shaayed K Wo Aariz Hon Gul e Tar Se Bhi Khush-Ruu,
Dilkash Hi Sahi Halqaa e Zulf o Khamm e Abruu ..

Ye Kis Ko Khabar Kiska Muqaddar Hai Sab Kuch,
Khawaabon Ki Ghataa Door Baras Jaaye Gi Aur Tuu,
Lautt Aaye Ga Le Ker Faqat Aahain, Faqat Aansuu .. !!

Ahmad Faraz ..
[/COLOR][/SIZE][/FONT]


01:03 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.