CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Mein Pal do Pal ka shayir hun..Pal do pal meri Kahani hai:) (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/49883-mein-pal-do-pal-ka-shayir-hun-pal-do-pal-meri-kahani-hai.html)

Farrah Zafar Friday, June 03, 2011 09:37 PM

Mein Pal do Pal ka shayir hun..Pal do pal meri Kahani hai:)
 
[SIZE="4"][FONT="Comic Sans MS"]My poetic fellows here I'm going to share my own poetry.Wazan ki zamanat mein nahi deti:tata.bas likh leti hun jab "aamad" hoti hai:evil
After doing Css,I will pay heed to my poetic work,Islah karva k shayed Book b print karwaun gi :king..ager ap khareednay ka waada karen:laugh:

ap mein se b koi ager apni intehai Zaati:D shayiri share kerna chahay tou ye thread hazir hai.

[COLOR="Sienna"]NOTE:All rights are reserved.If you want to share my any piece of poetry,share it with my name:onesec:onesec werna Allah poochay:laugh:[/COLOR]

[CENTER][SIZE="5"][COLOR="DarkGreen"]sach ko jhoot banaye kon,
youn nazron se giraye kon,

ham he hanstay hain dukh pe,
werna rotay mein muskaye kon,

waqt e zaroorat khuli haqeeqat,
hain apne kon , paraye kon,

parwanay mehv e intezar e jaa'n gusal,
sar e shaam shama jalaye kon?

Saaqi ne tishna labi ker di muqaddar,
is mehfil mein maey pilaye kon,

tum he ne hawa di thi jazbaat ko,
ye ishq ki aag hai bujhaye kon,

Insaaf ki baaten tou kertay hain sab,
[B]Farrah![/B]pehlay zanjeer hilaye kon?[/COLOR][/SIZE][/CENTER]
[/FONT][/SIZE]

Eager Saturday, June 04, 2011 12:28 AM

thanks farah, group me apni poetry share krtay hue i was having the feeling kay sirf 2,3 log hi hmaray is "besh baha" talent se aashna ho pa rahay hain:dd:dd baaqi forum members ko tou pata hi nahi kay yahan kesay kesay ahl-e-qalam mojoud hain:shy tou phir ek nazm hazir-e-khidmat hai. All rights reserved, churanay ki koshish na ki jae plz:dd touseef-o-tanqeed ka haq behar haal sb ko hasil hai :))

[SIZE="5"][B]Sarshari:[/B][/SIZE]

[SIZE="4"]Mann ki gehri khamoshi,
Duniya kay shore me mil jae..
Dil ka saara san’nata
Ab pehan le ghungroo pairon main,
Moaj hawa ki aisi aye
Khol de zulfain naari ki,
Bheegain pair, anchal or tan mann
Rooh ki thakan utar jae…
Geeli rait me aks hawa ka,
Manzil paer nishaan banain,
Qatrah qatrah, zarrah zarrah,
Saath safar main hojae..
[/SIZE]

Farrah Zafar Saturday, June 04, 2011 06:01 PM

[SIZE="4"][FONT="Comic Sans MS"]@Eager bohat khoob:clap.meray lye b bajati rehna:dd Umeed kerti hun;

[CENTER]Taaliyon ka ye silsala youn he bar'qarar rahay ga,
"Mike" is mushaiyray mein sharamsaar rahay ga:evil

Faiz sahab ki zameen mein meri ye ghazal;

[COLOR="Purple"][SIZE="5"]chahaar soo meray mayoosiyon ka andhera hai,
kia aisi shab ka bhi koi saweraa hai?


dosti ki aarr mein dushmani ka khail,
doston ne kis harbay se mujhe ghaira hai,


pur'shikan chadar,gard aalood kitaben,adh bujha sigaar,
lagta hai yahan kisi aashiq ka basaira hai,


us lehjay mein halaawat,thi jis mein kabhi karrwahat,
dekho!daulat ne kesa chakkar phaira hai,


hizn o malaal hai teray chehray pe FARRAH kyon,
ye muhabbat ka rog na tera hai na mera hai...![/SIZE][/COLOR]![/CENTER][/FONT][/SIZE]

J.Zaib Saturday, June 04, 2011 08:36 PM

[QUOTE=Farrah Zafar;314731][SIZE="4"][FONT="Comic Sans MS"]My poetic fellows here I'm going to share my own poetry.Wazan ki zamanat mein nahi deti:tata.bas likh leti hun jab "aamad" hoti hai
After doing Css,I will pay heed to my poetic work,Islah karva k shayed Book b print karwaun gi :king..ager ap khareednay ka waada karen

ap mein se b koi ager apni intehai Zaati shayiri share kerna chahay tou ye thread hazir hai.

[COLOR="Sienna"]NOTE:All rights are reserved.If you want to share my any piece of poetry,share it with my name:onesec werna Allah poochay:laugh:[/COLOR][/QUOTE]

Your attempt is not so bad.. :nono Infact, it was good... :)
I am also ready to buy your book...
Keep trying & sharing...
[QUOTE=Eager;314859]thanks farah, group me apni poetry share krtay hue i was having the feeling kay sirf 2,3 log hi hmaray is "besh baha" talent se aashna ho pa rahay hain:dd:dd baaqi forum members ko tou pata hi nahi kay yahan kesay kesay ahl-e-qalam mojoud hain:shy tou phir ek nazm hazir-e-khidmat hai. All rights reserved, churanay ki koshish na ki jae plz:dd touseef-o-tanqeed ka haq behar haal sb ko hasil hai :))
[/QUOTE]
Shuker hai keh mujhay yahan ahl-e-qalam logon ka pata chal gaya,, :unsure:

waisay poetry of both is good,,,, You must continue....

Mahvish Shahid Sunday, June 05, 2011 12:56 AM

[FONT="Century Gothic"]



Wah Wah Wah..:vic Farruuuuuu.. Meriii Jaaan.. Pora Pakistan :laugh:

Yahan to Aap ne Apni Takhliqat Bakheir ker Saf'ha Gul-o-Gulzaar kr Daala hai. :evil

Achi Kavish hai.. Jarri Rakhye, Tasalsul k sath !:blush:

Allah aap ke zoor-e-Qalm main Izafa farmaye Aap ki Socho'n ko Wusat de Ameen ! :shy

P.S

Maine Apni Nahein Share Krni :nono .. I hate it Jab ko Copy Kr le !! :huh

Main Apna Raha Saha Hemoglobin Jalana nhe Chahti :cow :eek::laugh:[/FONT]

Farrah Zafar Sunday, June 05, 2011 08:43 PM

[SIZE="4"]@ Mahvish ik aadh Ghazal ho jaye,chori kernay walon ko Allah Poochay ga.

[CENTER]meri aazad nazm..

[SIZE="5"][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="Sienna"]wo meri muhabbat thi,
mein zaroorat tha us ki,
mein kehta tha muhabbat zaroori hoti hai,
wo kehti thi zaroorat majboori hoti hai,
mein nadaa'n..!!
zaroorat aur muhabbat ka khail na samjha,
aaj,
mujhe chorr k wo chal di,
ye kehtay hue k Jaan'an..!
tum meri zaroorat thay,
aur tum kia jano?
Zaroorten badal bhi jati hain...!!![/COLOR][/FONT][/SIZE]![/CENTER][/SIZE]

Fading Glimpse Monday, June 06, 2011 12:46 AM

[COLOR="DarkOrchid"][SIZE="3"][FONT="Comic Sans MS"]umeed-e-mohabat doon k jeenay ka sila doon
yun ishq ki rahon me naye phool khila doon...

jo chup hoon tou hoon sabar ki dewaar ki manind
cheekh uthoon tou me tery, dar-o-baam hila doon

gar aag banoon phoonk doon hr chez ko yakdam
jo phool banoon, khushboo hi khushboo me phaila doon

jazbay mery gr aatish-e-namrood jla dy.....
me apni BRAHEEM(a.s) sy nisbat hi mita doon

samjhay ya na samjhay koi me phir bhi wafa hoon
jab chahy, jisay chahy, jahan chahy mila doon...

by JiaShah:)[/FONT][/SIZE][/COLOR]

Farrah Zafar Monday, June 06, 2011 08:36 PM

[CENTER][SIZE="4"][COLOR="Purple"]zindagi se hamen payar nahi raha,
dunya mein kisi ka aitbar nahi raha,

kabhi muhabbat he aurrna bichona thi,
ab nafrat pe bhi akhtayar nahi raha,

Lo mein chali zakhm zakhm rooh liye,
mujh ko Maseeha ka intezar nahi raha,

alfaaz ki taaseer hoti hai bohat,
aayinaay k roo'baru bhi izhaar nahi raha,

jeenay ki khawahish nahi,marnay ka hosla nahi,
itna tou dil [COLOR="Black"]FARRAH[/COLOR] laa'chaar nahi raha[/COLOR][/SIZE][/CENTER]

Mao Zedong Tuesday, June 07, 2011 10:23 AM

Your poetry is not bad, keep up the good work. I wish you could take the place of Parveen Shakir as you have a few things in common with her like CSS, M.A. English literature and last but not the least – inclination towards Urdu Poetry.

Mahvish Shahid Tuesday, June 07, 2011 11:53 AM

[QUOTE=Farrah Zafar;315806][SIZE="4"]@ Mahvish ik aadh Ghazal ho jaye,chori kernay walon ko Allah Poochay ga.

[/QUOTE]

[FONT="Century Gothic"]
Mujhe to ati Nhe :cow :D


[/FONT]


01:07 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.