CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Muhabbat (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/49913-muhabbat.html)

fahid tariq Saturday, June 04, 2011 10:48 AM

Muhabbat
 
Muhabbat phir Muhabbat hay...
Kabhi dil say nahi jaati,

Hazaron rang hain is k,
Ajab he dhang hain is k,

Kabhi sehra,
Kabhi darya,
Kabhi jugnu,
kabhi ansu,
Hazaron roop rakhti hay,

Badan jhulsa k jo rakh day,
Kabhi wo dhop rakhti hay,

kabhi ban k yeh ek jugnu,
Shab-e-gham k andheron main dilon ko aas deti hay,
kabhi manzil kinaray par pyasa mar deti hay,

Aziyat he Aziyat hay,

'''''Magar.......
ye bhi haqeeqat hay,

Muhabbat phir Muhabbat hay,
Kabhi dil say nahi jati
Kabhi dil say nahi jati............

quratulain syed Saturday, June 04, 2011 11:20 AM

Muhabbat Rog Hay Janan Mujabbat Ab Nahin Ho Gi
Muhabbet Ek Tamasha Hy Shikayet Ab Nahin Ho Gi

Umer Saari Pooja Tha Husen Kay In Khudaoon Ko
...Muhabbet Ger Ibadet Hy ,Ibadet Ab Nahin Ho Gi

Fasaany Bht Bikty Hain Purany Kaye Zamany Say
Muhabbet Ek Rewayat To Rewayat Ab Nahin Hu Gi

Chuna Thja Husen Deewarun Main Yae Keh Ker Bhi Akber Nay
Muhabbet Ger Bghawet Hy Bghawet Ab Nai Hu Gi

Tooty Jab Teer Mirzy Kay Pukara Wo Bhi Yae Aakhir
Muhabbet Ger Nazaket Hay Nazaket Ab Nahin Ho Gi

Likha Ek Lafz Muhabbet Tha Majnuu Nay Mita Dala
Muhabbet Ger Inayet Hy Inayet Ab Nahin Ho Gi

Utha Ker Phool Ker Patti Nazaket Say Masek Dali
Muhabbet Ger Nazaket Hy Nazaket Ab Nahin Ho Gi

Jala "Kashi" Jo Perwana Pukara Wo Bhi Yae Akhir
Muhabbet Ger Aqeedet Hy Aqeedet Ab Nahin Ho Gi.

quratulain syed Tuesday, June 14, 2011 10:55 AM

jo kuchh kaho qubuul hai taqaraar kyaa karuu.N
sharmindaa ab tumhe.n sar-e-baazaar kyaa karuu.N

maaluum hai ki paar khulaa aasamaan hai
chhuTate nahii.n hai.n ye dar-o-diivaar kyaa kauu.N

is haal me.n bhii saa.Ns liye jaa rahaa huu.N mai.n
jaataa nahii.n hai aas kaa aazaar kyaa karuu.N

hai.n vaa-shigaaf mujh pe tumhaarii inaayate.n
jo ankahii na ho use izahaar kyaa karuu.N

phir ek baar vo ruKh-e-maasuum dekhataa
khulatii nahii.n hai chashm-e-gunahagaar kyaa karuu.N

ye pur-sukuun subah ye mai.n ye fazaa "Shaoor"
vo so rahe hai.n ab unhe.n bedaar kyaa karuu.N

Saleeqa Batool Sunday, June 19, 2011 12:42 PM

[quote=quratulain syed;320445]

vo haath paraaye ho bhii gaye ab duur kaa rishtaa hai 'qaiser'
aatii hai merii tanhaa_ii me.n khushbuu-e-hinaa dhiire dhiire[/quote]
jo kabhi apna tha hi nahin,
phir aaj use khone ka gam kyun hai.
Kaantoon ne to kabhi zakhm diya hi nahin par,
phoolon pe chalne se aaj aankhen nam kyun hai.
Kal tak jin nigahoon mein khushiyon ki chamak hua karti thi,
aaj unki roshni bhuji hai.
Shayad un nigahoon mein ab,
khawaboon ki bhi jagah nahin hai.
Kehtein hain ki zindgi chand paloon ki kahani hoti hai,
jo khush reh kar
bitane ka naam hoti hai,
par aaj un laboon ki hansi kho chuki hai,
jin nigahoon ki chamak ab nami ban chuki hai.
Kho kar bhi khone ka ab dar kyun hai,
jo apna tha hi nahin,
phir aaj use khone ka gam kyun hai.

quratulain syed Sunday, June 19, 2011 05:59 PM

[QUOTE=Saleeqa Batool;321672]jo kabhi apna tha hi nahin,
phir aaj use khone ka gam kyun hai.
Kaantoon ne to kabhi zakhm diya hi nahin par,
phoolon pe chalne se aaj aankhen nam kyun hai.
Kal tak jin nigahoon mein khushiyon ki chamak hua karti thi,
aaj unki roshni bhuji hai.
Shayad un nigahoon mein ab,
khawaboon ki bhi jagah nahin hai.
Kehtein hain ki zindgi chand paloon ki kahani hoti hai,
jo khush reh kar
bitane ka naam hoti hai,
par aaj un laboon ki hansi kho chuki hai,
jin nigahoon ki chamak ab nami ban chuki hai.
Kho kar bhi khone ka ab dar kyun hai,
jo apna tha hi nahin,
phir aaj use khone ka gam kyun hai.[/QUOTE]
Khulii jo aa.Nkh to vo thaa na vo zamaanaa thaa
dahakatii aag thii tanhaa_ii thii fasaanaa thaa

Gamo.n ne baa.NT liyaa mujhe yuu.N aapas me.n
ke jaise mai.n ko_ii luuTaa huaa Khazaanaa thaa

ye kyaa ke cha.nd hii qadamo.n pe thak ke baiTh gaye
tumhe.n to saath meraa duur tak nibhaanaa thaa

mujhe jo mere lahuu me.n Dubo ke guzaraa hai
vo ko_ii Gair nahii.n yaar ek puraanaa thaa

Khud apane haath se "Shahzad" us ko kaaT diyaa
ke jis daraKht ke Tahanii pe aashiyaanaa thaa

fahid tariq Thursday, June 23, 2011 09:59 AM

[SIZE="3"][FONT="Times New Roman"][COLOR="green"]Wo shakhs kabhi dasht say guzray to usay kehna,
Ek pal meray ghar main bhe theray usay kehna,
Kehna k samandar k kinaray pay na jaye,
Kuch log samandar say bhi gehray hain usay kehna,
Zarkhaiz zameenain kabhi banjar nahi hoten,
Darya he badal letay hain rasta usay kehna,
Kuch log safar k liye mozon nahi hotay,
Kuch rastay kattay nahi tanha usay kehna,
[B]Is shehar mian such keh kar gunahgar na hona,
K basti k sabhi log hain behray usay kehna......[/B][/COLOR][/FONT][/SIZE]

quratulain syed Monday, July 04, 2011 11:27 PM

badalate vaqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai

tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahii.n
kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai

terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaa.N
mujhe to Khuun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai

damaaG-o-dil ho.n agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhuup
thape.Daa luu kaa bhii ThanDii havaa saa lagataa hai

[mutma_ii.n = content/satisfied; luu = hot summer breeze]

vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aaKhir
Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai

tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere
ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai

nikal ke dekho kabhii nafarato.n ke pinjare se
tamaam shahar kaa "Manzar" khulaa saa lagataa hai


01:07 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.