|
![]() |
Share Thread:
![]() ![]() ![]() |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
||||
|
||||
![]() Zulmat ko zia, sar sar ko saba, banday ko khuda kya likhna Deewar ko dar, pathar ko gauhar, jugnu ko diya kya likhna Hashr bapa hai ghar ghar mein, dum ghut’ta hai gumbad-e-bedar mein Ik shakhs kay hathon muddat se, ruswa hai watan duniya bhar mein Aay deeda-waro iss zillat ko, kismet ka likha kya likhna Zulmat ko zia, sar sar ko saba, banday ko khuda kya likhna Logoon pay hi hum ne jaan wari, ki hum ne inhi ki gham khwari Hote hain toh hon ye haath qalam, sha’ir na banain ge darbari Iblees numa insanon ki, aye dost sana kia likhna Zulmat ko zia , sarsar ko saba banday ko khuda kya likhna Haq baat pe korray aur zindaan, batil ke shikanje main hai ye jaan Insaan hain ke sehme bethe hain, khoon-khwar darinde hain raqsaan Iss zulm-o-sitam ko lutf-o-karam, iss dukh ko dawa kya likhna Zulmat ko zia , sarsar ko saba banday ko khuda kya likhna Har shaam yahan shaam-e-weeran, aaseb zada raste galiyan Jis shehr ki dhun main nikle thay, woh shehr dil-e-barbad kahan Sehra ko chaman ban ko gulshan badal ko rida kia likhna Zulmat ko zia, sa sar ko saba, banday ko khuda kia likhna Aye mere watan ke fankaro, zulmat pe na apna fan waro Ye mehl sara’on ke baasi, qatil hain sabhi apne yaro Wirsay main hamain yeh gham hai mila, iss gham ko nayaa kia likhna Zulmat ko zia, sarsar ko saba, banday ko Khuda kia likhna Habib Jalib
|
The Following 4 Users Say Thank You to Chap X For This Useful Post: | ||
Farrah Zafar (Sunday, July 24, 2011), ravaila (Saturday, November 05, 2011), Shooting Star (Sunday, July 24, 2011), Tassawur (Sunday, July 06, 2014) |
![]() |
Thread Tools | Search this Thread |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Meri Pasand | Farrah Zafar | Urdu Poetry | 158 | Tuesday, March 01, 2016 08:54 PM |
Mujhey darya nahi likhna | Last Island | Urdu Poetry | 3 | Saturday, November 06, 2010 10:08 PM |