CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   main aur meri tanhai! (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/5639-main-aur-meri-tanhai.html)

farooq_haider22 Monday, October 16, 2006 02:36 PM

main aur meri tanhai!
 
main aur meri tanhai akser ye bateen kerty hain,
tum hoti to kesa hota,
tum ye kehti tum wo kehti,
tum ic baat pe hairan hoti,
tum us baat pe kitna hansti,
tum hoti to aisa hota,
tum hoti to waisa hota,

main aur meri tanhai akser ye bateen kerty hain.

ye raat hai yaa tumhari zulfeen khuli howi hain,
hai chandni yaa tumhari nazroon se meri rateen dhuli howi hain,
ye chand hai yaa tumhara kangan,
sitary hain yaa tumhara anchal,
hawa ka jhonka hai yaa tumhary badan ki khushboo,
ye pateeon ki hai sar-sarahat,
yaa tumny chupky se kuch kaha hai,
ye sochta hoon main kubse ghumsum ke jabky mujko bhi ye khaber hai,
ke tum nahi hoo,
kaheen nahi hoo,
mager ye dil hai ke keh raha hai,
ke tum yaheen hoo,
yaheen kaheen hoo,

majboor ye halat idher bhi hai udher bhi,
tanhai ki ye raat idher bhi hai udher bhi,
kehny ko bohot kuch hai mager kis se kaheen hum,
kab tak yoonhai khamosh raheen aur saheen hum,
dil kehta hai ke duniya ki her rasm utha deen hum,
deewar joo dono main hai aaj gira deen,
kion dill main sulagty raheen,
logoon ko bata deen,

haan hum ko mohabat hai,
mohabat hai, mohabat hai......:cry

farooq_haider22 Thursday, October 19, 2006 05:06 PM

[QUOTE]Na may uss ko paas bula saka
Na may haal-e-dil suna saka
Woh hansi hansi may hi chal diyay
May to haath tak na mila saka:-||
[/QUOTE]
its really nice, i m going to share with u a 'nazam' which i have wrote before, only introduction of it i m going to share, may be some other time i will submit it complete.

Kabhi to muj ko wo jan ly ga,
kahbi to daman ko tham ly ga,

kabhi to khuwab hoongy apny,
ghum ky sawan mai dooby sapny,

haqeeqaton ke qareeb tha,
koi maira bhi humsafar tha,

per kia karoon sab koch khatam hai,
chahat ka ye gehra zamkham hai,

koshesh karoon ga ke bhoool jaoon,
ya moot ki bahoon main jhool jaoon,

to be continued.......... just for u Najabat bro.


12:48 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.