Tuesday, April 23, 2024
06:39 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #11  
Old Saturday, September 29, 2012
Senior Member
 
Join Date: Sep 2008
Posts: 351
Thanks: 119
Thanked 134 Times in 99 Posts
new_horizons is on a distinguished road
Default

Main aisi shaakh keh jo apni kachhi kalian
Barish say qabal jala bethi
Jeb phool aanay kay din aye
Baadal ka pyaar ganwa bethi,
Kaisi kaisi be-ma'ani baaton main shaamein barbaad huin
Kaisay be-musarraf kaamon main ujli ratein barbaad huin
Kis darja munafiq logon main dil sachi baat sunata raha
Woh jin kay quloob pay mohrain theen unhain roshniyan dikhlata raha
Kaisay kaisay piyaray jazbay
Kin naqadron ko daan kiye
Kaisi baar-awar rut nay be-zer mausam say paimaan kiye
Kin kem-himmat shahzadon kay wa'adon pay bharosa ker kay
Apnay nau-khufta jism main suian garwa liin
Kin aasaibon kay kehnay main
Aabaadian shehr-i-jaan ki tumaam ujarwa liin
(-Parveen Shakir)
__________________
Khaak ho jaen gay hum tum ko khabar honay tak ...
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to new_horizons For This Useful Post:
shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012), zaigham khan (Sunday, September 30, 2012)
  #12  
Old Sunday, September 30, 2012
quratulain syed's Avatar
Senior Member
 
Join Date: May 2010
Location: Hyderabad
Posts: 429
Thanks: 169
Thanked 584 Times in 371 Posts
quratulain syed will become famous soon enough
Default Mohsin Naqvi my fav poet...

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de
na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii
ke tez havaao.n kii zard maail naqsh-e-qadam
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile
hamaarii simt na dekho ke koii der me.n ham
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n
base basaaye huye shahar apanii aaNkhon ke
misal-e-khaanaa-e-viiraan ujaDane vaale hain
hamaarii umar ke Khemen ukhaDane vaale hain
__________________
When the world pushes you to your knees,
you are in the perfect position to pray.
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to quratulain syed For This Useful Post:
Seemab (Wednesday, December 05, 2012), shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012), zaigham khan (Sunday, September 30, 2012)
  #13  
Old Monday, October 01, 2012
quratulain syed's Avatar
Senior Member
 
Join Date: May 2010
Location: Hyderabad
Posts: 429
Thanks: 169
Thanked 584 Times in 371 Posts
quratulain syed will become famous soon enough
Default

خدا عظیم، زمانہ عظیم، وقت عظیم
اگر حقیر ہے کوئی یہاں تو صرف ندیم
وہی ندیم، وہی لاڈلا بہشتوں کا

وہی ندیم، جو مسجود تھا فرشتوں کا
وہ جس نے جبر سے وجدان کو بلند کہا
وہ جس نے وسعتِ عالم کو اک زقند کہا
وہ جس نے جرمِ محبت کی جب سزا پائی
تو کائنات کے صحراؤں میں بہار آئی
وہ جس نے فرش کو بھی عرش کا جمال دیا
وہ جس نے تند عناصر کو ہنس کے ٹال دیا
بڑھا تو راہیں تراشیں، رُکا تو قصر بنائے
اُڑا تو گیت بکھیرے، جھکا تو پھول کھلائے
وہ جس کے نام سے عظمت قسم اٹھاتی ہے
اسی کی آج خدائی ہنسی اڑاتی ہے
نہیں ۔۔۔کسی سے بگڑنا مرا سبھاؤ نہیں
مری سرشت میں گلزار ہیں، الاؤ نہیں
ہزار بار شکستوں پہ مسکرایا ہوں
مصیبتوں کی گرج میں بھی گنگنایا ہوں
اگر حریمِ بقا سے فنا ملی ہے مجھے
اسی فنا میں بقا کی ادا ملی ہے مجھے
خدا شناس بھی ہوں اور خود شناس بھی ہوں
خدا سے دور بھی ہوں اور خدا کے پاس بھی ہوں
یہاں زمیں پہ بھی تخلیق کام ہے میرا
کہ کبریائی سے منسوب نام ہے میرا
زمیں مری ہے، فضا بھی مری، خلا بھی مری
خلا مری ہے تواقلیم ماورا بھی مری
خدا کے ذہن کا فن پارۂ عظیم ہوں میں
تمام دہر کا دولھا ہوں میں۔۔۔۔ندیم ہوں میں

شاعر: احمد ندیم قاسمی
__________________
When the world pushes you to your knees,
you are in the perfect position to pray.
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to quratulain syed For This Useful Post:
Seemab (Wednesday, December 05, 2012), shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012), zaigham khan (Wednesday, October 03, 2012)
  #14  
Old Tuesday, October 02, 2012
MisbahMalik's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Mar 2011
Location: Islamabad
Posts: 215
Thanks: 14
Thanked 110 Times in 82 Posts
MisbahMalik is on a distinguished road
Default

Kal Ki Baat Ko Kal Per Chhoro ...!
Aatay Waqt Ko Kiss Ne Dekha ...?
Mustaqbil Pe Zor Hai Kis Ka ...?
Kal Aay Ga,Kal Dekhain Ge ...!
Aaj Tu Jee Lain In Lamhon Ko ...!
Jin Lamhon Ki Khatir Hum Ne ...!
Maazi Ko Qurbaan Kia Hai ...!
__________________
There is only one success ... to be able to spend your own life in your own way !!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to MisbahMalik For This Useful Post:
shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012)
  #15  
Old Tuesday, October 02, 2012
quratulain syed's Avatar
Senior Member
 
Join Date: May 2010
Location: Hyderabad
Posts: 429
Thanks: 169
Thanked 584 Times in 371 Posts
quratulain syed will become famous soon enough
Default

ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise
rat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise
dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise
muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise
ab agar dub gaya bhi to marunga na ?Kamal?
bahte pani pe mera nam likha ho jaise


SHAIR: AHMAD KAMAL
__________________
When the world pushes you to your knees,
you are in the perfect position to pray.
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to quratulain syed For This Useful Post:
Arooj Khan Marwat (Friday, October 26, 2012), shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012), zaigham khan (Wednesday, October 03, 2012)
  #16  
Old Wednesday, October 03, 2012
quratulain syed's Avatar
Senior Member
 
Join Date: May 2010
Location: Hyderabad
Posts: 429
Thanks: 169
Thanked 584 Times in 371 Posts
quratulain syed will become famous soon enough
Default

Tujh se gilay karoon tujhe janaa’n manaaon main,
Ik bar apne aap mein aaon to aaon main,


Dil se sitam ki be’saro kaari hawaa ko hai,
Woh gard urraa rahi hai ke khud ko ganwaaon main,



Naadim hoon woh ke jis pe nadaamat bhi ab nahin,
Woh kaam hain ke apni judai kamaaon main,

Kyon’kar ho apne khawab ki aankhon mein wapsi,
Kis taur apne dil ke zamamon mein jaaon main,

Ik rang si kamaa’n ho khushbu sa ik teer,
Marham si ik wardaat ho aur zakham khaon main,

Shikwa sa aik dareecha ho, nasha sa ik sakoot,
Ho shaam aik sharab si aur larr’khraon main,

Phir is gali se apna guzar chahta hai dil,
Ab is gali ko kaunsi basti se laaon main..


SHAIR: JHON ALIA
__________________
When the world pushes you to your knees,
you are in the perfect position to pray.
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to quratulain syed For This Useful Post:
new_horizons (Monday, October 08, 2012), redmax (Thursday, October 04, 2012), shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012), zaigham khan (Thursday, October 04, 2012)
  #17  
Old Thursday, October 04, 2012
quratulain syed's Avatar
Senior Member
 
Join Date: May 2010
Location: Hyderabad
Posts: 429
Thanks: 169
Thanked 584 Times in 371 Posts
quratulain syed will become famous soon enough
Default

saare badan ka Khuun pasiine men jal gayaa
itanaa chale ke jism hamaaraa pighal gayaa

chalathe ki gin rahe the musiibaat ke raat din
dam lene ham jo baiTh gaye dam nikal gayaa

achchhaa huaa jo raah me.n Thokar lagii hame.n
ham gir pa.De to saaraa zamaanaa sambhal gayaa

vahashat me.n ko_ii saath hamaaraa na de sakaa
daaman kii fikr kii to garebaa.N nikal gayaa
__________________
When the world pushes you to your knees,
you are in the perfect position to pray.
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to quratulain syed For This Useful Post:
shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012), zaigham khan (Thursday, October 04, 2012)
  #18  
Old Saturday, October 06, 2012
quratulain syed's Avatar
Senior Member
 
Join Date: May 2010
Location: Hyderabad
Posts: 429
Thanks: 169
Thanked 584 Times in 371 Posts
quratulain syed will become famous soon enough
Default Ahmed Faraz

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay
__________________
When the world pushes you to your knees,
you are in the perfect position to pray.
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to quratulain syed For This Useful Post:
shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012), zaigham khan (Sunday, October 07, 2012)
  #19  
Old Monday, October 08, 2012
Senior Member
 
Join Date: Sep 2008
Posts: 351
Thanks: 119
Thanked 134 Times in 99 Posts
new_horizons is on a distinguished road
Default mujhe koi shaam udhaar do

Tumhe jeb kabhi milain fursatein meray dil say bojh utaar do
Main boht dinon say udaas hoon, mujhe koi shaam udhaar do

Mujhe apnay roop ki dhoop do keh chamak sakain meray khal o khed
Mujhe apnay rung main rung do, meray saaray rung utaar do

Kisi aur ko meray haal say na gharz hai koi na waasta
Main bikher gaya hoon samait lo, main biger gaya hoon, sanwaar do

Meri wehshaton ko barha diya hai judaion kay azaab nay
Meray dil pe haath rakho zara, meri dharkanon ko qaraar do

Wahan gher main kaun hai muntazir keh ho fiker dair sawair ki
Bari mukhtasir si yeh raat hai, isi chandni main guzaar do

Koi baat kerni hai chaand say, kisi shaakhsaar ki oat main
Mujhe raaste main yehin kehin kisi kunj e gul main utaar do
(-Aitbar Sajid)
__________________
Khaak ho jaen gay hum tum ko khabar honay tak ...
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to new_horizons For This Useful Post:
shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012)
  #20  
Old Monday, October 08, 2012
quratulain syed's Avatar
Senior Member
 
Join Date: May 2010
Location: Hyderabad
Posts: 429
Thanks: 169
Thanked 584 Times in 371 Posts
quratulain syed will become famous soon enough
Default

Dil o nigah pe taari rahe fasoo’n is ka,
Tumhara ho ke bhi mumkin hai mein rahoon us ka,

Tujhe khabar nahin is baat ki abhi shayed,
Ke tera ho to geya hoon magar mein hoon us ka,

Ab is se qata-taluq mein behtri hai meri,
Main apna reh nahin sakta agar rahoon us ka,

Zameen ki khaak to kab ki urraa chuke hain hum,
Hamari zadd mein hai ab chiraag neel’gon us ka,

Dil-e-tabaah ki dharkan bata rahi hai Raza,
Yahin kahin pe hai woh sheher pur’sakoon us ka..
__________________
When the world pushes you to your knees,
you are in the perfect position to pray.
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to quratulain syed For This Useful Post:
shahzeb22 (Saturday, November 03, 2012), zaigham khan (Friday, October 12, 2012)
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Faiz Ahmed Faiz Mazher Urdu Poetry 37 Thursday, November 22, 2018 11:50 AM
Mery ham dam, mujhy saath tumhara hy bohat Maroof Hussain Chishty Urdu Poetry 0 Tuesday, August 03, 2010 10:33 PM
Meray Sahir teri aankhain yeh kesa dard rakhti hain Last Island Urdu Poetry 2 Thursday, July 08, 2010 04:13 PM
Saiyaan zaat adhoori hay Last Island Urdu Poetry 0 Thursday, April 16, 2009 03:41 PM
Ab bi teri aahat par aass luot aati hai The Star Urdu Poetry 0 Sunday, March 08, 2009 01:18 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.