Zamana Pur Khatar hai aur Main Hun
A Ghazal by S I M Rizvi Sharib
Zamana pur khatar hai aur main hun
Duao-n mein asar hai aur main hun
Kathin ye rahguzar hai aur main hun
zaman-e ka Saher(jadoo) hai aur main hun
Ghame dauraan ki terey hijr ki bhi
Nahin dikhti saher hai aur main hun
saza be deen hone ki na poochcho
gunahon ka safar hai aur main hun
Madin-e chal k kahna tum bhee Sharib
Ye rahmat ka nagar hai aur main hun.
wassalam
Last edited by Kamran Chaudhary; Saturday, July 07, 2012 at 04:31 PM.
|