CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Faiz Ahmed Faiz (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/7325-faiz-ahmed-faiz.html)

Mazher Wednesday, January 10, 2007 12:51 PM

Faiz Ahmed Faiz
 
[SIZE=4][COLOR=purple][I]salamz,[/I][/COLOR][/SIZE]

[SIZE=4][COLOR=purple][I]I want to recall the greatest poet of his age... :8: Faiz Ahmed Faiz:8: [/I][/COLOR][/SIZE]

[SIZE=4][COLOR=purple][I]so plz keep sharing his verses....[/I][/COLOR][/SIZE]

[SIZE=4][COLOR=purple][I]Great heroes don't hang in vacuum n he is a hero ........... so b alive him[/I][/COLOR][/SIZE]

[SIZE=4][COLOR=purple][I]:nono :nono :nono :nono :nono Don't forget it:nono :nono :nono :nono :nono [/I][/COLOR][/SIZE]

Mazher Wednesday, January 10, 2007 01:15 PM

[B][COLOR="Purple"]Muqaam Faiz koi raah mein jacha he nahn
jo koo-e-yaar say niklay to soo-e-daar chalay[/COLOR][/B]

Last Island Thursday, January 11, 2007 12:56 AM

[B]Meraa dard naghma-e-besada
Meri zaat zarra-e-bay nishaan
Mere dard ko jo zubaan mile
Mujhe apanaa naam-o-nishaan mile
Merii zaat ko jo nishaan mile
Mujhe raaz-e-nazm-e-jahaan mile
Jo mujhe ye raaz-e-nihaan mile
Merii khaamoshii ko bayaan mile
Mujhe kaayanaat kii saravarii
Mujhe daulat-e-do-jahaan mile [/B]

Faiz Ahmed Faiz

Last Island Thursday, January 11, 2007 01:50 AM

Tanhai
 
[B]Phir koi aayaa dil-e-zaar nahin koii nahin
Rah-rau hoga kahin aur chala jaaye gaa
Dhal chuki raat biKharne laga taaron kaa ghubaar
Lurkharaaney lage aewaanon main khwaabeeda charaagh
So gai rastaa tak tak ke har ek rahguzar
Ajanabi khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraagh
Gul karo shamain barhaa do mai-o-miinaa-o-ayaagh
Apney bekhwaab kiwaaron ko muqaffal kar lo
Ab yahan koii nahin, koi nahin aaye gaa[/B]

Mazher Thursday, January 11, 2007 01:04 PM

na ganwao nawak-e-neem kash
dil-e-reza reza ganwa dia

jo bachay hein sang samet lo
dil-e-dagh dagh luta dia

------------

[B][COLOR=indigo]meray chara gar ko naveed ho[/COLOR][/B][COLOR=indigo]
[B]saf-e-dushmana ko khabar karo[/B]

[B]jo wo qarz rakhtay thay jaan par[/B]
[B]wo hisab aaj chuka dia[/B][/COLOR]

------------

[B][COLOR=purple]jo rukay to koh-e-giraan thay ham[/COLOR][/B][COLOR=purple]
[B]jo chalay to jaan say guzar gaey[/B]

[B]rah-e-yaar ham nay qadam qadam[/B]
[B]tujay yadgar bana dia[/B][/COLOR]

Mazher Thursday, January 11, 2007 01:33 PM

[B][COLOR="Purple"][I]gar mujay iss ka yaqeen ho meray hamdam meray dost
gar mujay iss ka yaqeen ho k teray dil ki thakan

teri aankhon ki udasi teray seenay ki jalan
meri diljooi meray piar say mit jaey gi

gar mera harf-e-tasalli wo dua ho jis say
g uthay phhir tera ujda hua bay-noor dimagh

teri pay-shani say dhul jaein yeh tazlil k dagh
teri beenar jawani ko shifa ho jaey

gar mujay iss ka yaqeen ho .........[/I][/COLOR][/B]

Last Island Friday, January 12, 2007 02:22 AM

Aaj baazar main
 
[B]Aaj baazar main paa-bajolan chalo

Chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kafi nahin
Tohmat-e-ishq-e-posheeda kafi nahin
Aaj baazar main paa-bajolan chalo

Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo
Khak bar sar chalo, khoon badaaman chalo
Rah takta hai sub shehr-e-janan chalo

Hakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi
Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dashnam bhi
Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi

Un ka dum-saaz apnay siwa kaun hai
Shehr-e-janaan main ab baa-safa kaun hai
Dast-e-qatil kay shayan raha kaun hai

Rakht-e-dil bandh lo, dil-figaron chalo
Phir hamee.n qatl ho aain yaro chalo[/B]

Mazher Friday, January 12, 2007 01:33 PM

[B][COLOR="Magenta"]Na ganwao nawak-e-neem shab, dil reza reza ganwa dia
jo bachay hein sung samet lo, tan dagh dagh luta dia

Meray chara gar ko naveed ho, saf-e-dushmana ko khabar karo
k jo qarz rakhtay thay jaan par, wo hisab aaj chuka dia

jo rukay to koh-e-giran thay ham, jo chalay to jaan say guzar gaey
rah-e-yaar ham nay qadam, tujay yadgar bana dia[/COLOR][/B]

Mazher Friday, January 12, 2007 02:53 PM

[B]rawish rawish hay wohi intizar ka mausam
nahin hay koi b mausam bahaar ka mausam

giraan hay dil pay gham-e-rozgar ka mausam

hay aazmaish-e-husn-enigar ka mausam

khusha... nazzara-e-rukhsaar-e-yaar ki saa-at
khusha.... qirar-e-dil-e-bay-qarar ka mausam[/B]

Mazher Friday, January 12, 2007 04:16 PM

[B]Yeh khoon ki mehak hay k lab-e-yaar ki khushboo[/B]
[B]kis raah ki janib say saba aati hay dekho[/B]

[B]gulshan mein bahaar aai k zandan hua aabad[/B]
[B]kis samt say naghmo ki sada aati hay dekho[/B]


Himmat-e-iltija nahin baqi
zabt ka hosla nahin baqi



ik teri deed chhin gai mujh say
warna dunia mein kia nahin baqi



apni mashq-e-sitam sy haath na khheench
mein nahin ya wafa nahin baqi



[B][COLOR=Maroon]Mata-e-loh-o-qalam chhin gai to kia gham hay[/COLOR][/B][COLOR=Maroon]
[B]k khoon mein dabo li hein ungalia mein nay[/B][/COLOR]



[B][COLOR=Maroon]Zuban pay muhr lagi hay to kia k rakhh di hay[/COLOR][/B][COLOR=Maroon]
[B]har aik halqa-ezanjeer mein zuban mein nay[/B][/COLOR]


07:22 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.