Tuesday, April 23, 2024
04:19 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Thursday, August 25, 2005
MOHIUDDIN's Avatar
Banned
 
Join Date: May 2005
Location: Lahore, model town
Posts: 71
Thanks: 0
Thanked 76 Times in 17 Posts
MOHIUDDIN is on a distinguished road
Default Manzil - Ik Nazm

MANZIL...

aaina.e.dil pe soch ki lehren
mazi ke dhund.lake dikhati hain
dil ke kenwas pe aas larzan hai
aur rafta ki chand tasweeren
urdti phirti hain aur preshan hain

aks kaise bane wafaon ke
raqs kaise likhon adaon ke
kam bas ka nahi duaon ke
asr baqi nahi sadaon ke

khali nazron main roshnai nahin
kab se, khud se bhi aashnai nahin

aaina.e.dil pe soch ki lehren
kashti kagaz ki, zor ki lehren

nahi ke tu ne kari nakhudai nahi
ab hawas bi sahilon ki raii nahi

youn na uchalo muge, lehro aao
dil se lagalo muge, lehro aao
pias meri bugi na shabnam se
tum zehr pilalo muge, lehro aao

dbo do hajat.e.maseehai nahi
kibria ne bi ki kibriai nahi

aaina.e.dil pe soch ki lehren
jaise sehra main jal uthi lehren

chord kar mug ko karwan wale
chal diye safar.e.gulsitan wale
tu bhi na daikh peeche murd murd ke
aye mere piarii ankhion wale

khushk honton ki, zard aankhon ki
khatam hone ko hai saza aakhir
dard.e.dil ki sab aafton ki dawa
aa gai le ke lo, qaza aakhir

aaina.e.dil pe soch ki lehren
chand taron ki roshni lehren

warzash.e.roz o shab nahi hoti
keh mehnat.e.safar ab nahi hoti
kar lon gardish tumhare mehwar main
ab to yeh bhi talab nahi hoti

tu chala to main daikhta hi raha
dil ki hasrat khatam nahi hoti

door karta hon khud ko tug se mgar
iss tarah chah kam nahi hoti
tug se kehni hai aik bat magar
hum se dam kham, sanam nahi hoti

haan magar tu bi hai majboor bohat
rah raston main zamm nahi hoti

aaina.e.dil pe soch ki lehren
zaat ki bat sochti lehren

hasrat.o.yas nachti lehren
khud ko samghati, rokti lehren
parda.e.khawab utha kar daikho
haqeeqten mug ko dikhati lehren
jo main khud ko bata nahi pata
woh batati hain bolti lehren
kon hai mere liye ranjeeda
raz.e.ulfat ko kholti lehren
manzil.e.shouq ke musafir ko
raston main hi rolti lehren
main raha peeche, magar aa puhnchi
manzlon pe youn bhagti lehren

kon hai gair, kon apna hai
kon mera hai poochti lehren
jo mera ab nahi raha akhtar
usii ko rehti hain poojti lehren
aaina e dil pe soch ki lehren.....
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
manzil nahi mili Sureshlasi Urdu Poetry 0 Tuesday, March 25, 2008 09:02 PM
My Own Nazm ! amy Urdu Poetry 0 Monday, January 28, 2008 08:34 PM
Manzil juda hay us ki mujay ye khaber be hay,,,, Amin Mirza Urdu Poetry 0 Sunday, March 11, 2007 10:12 PM
manzil na de charaaG na de hausalaa to de samreen Urdu Poetry 0 Wednesday, February 14, 2007 05:55 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.