CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Gunah karte he rehte hain, (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/7597-gunah-karte-he-rehte-hain.html)

Last Island Wednesday, January 24, 2007 04:12 AM

Gunah karte he rehte hain,
 
[B]Gunah karte he rehte hain, saza hoti he rehti hai
Khata kay hum bhi putlay hain, khata hoti he rehti hai

Ghumon kay beej hum sahra e dil main kaasht kartay hain
Yeh fasl e dard hai nasho-o-numa hoti he rehti hai

Yeh duniya hai , masail hain, masail dar masail hain
Wafa ko choorye sahib , wafa hoti he rehti hai

Jo qarz e zindagi hum par hai,woh barhta he rehta hai
Jo qist e arzoo hai , woh ada hoti he rehti hai

Gali kochon main darvaishon ka phaira lagta rehta hia
Dar e dil par faqeerana sada hoti he rehti hia

Kisi kay lums ka nasha badan main raqas karta hai
Kisi kay qurb ke khawaish siva hoti he rehti hai

Havay aafeyat es shaher main chalti nahin MOHSIN
Bapa har ehed main ek karbala hoti he rehti hai [/B]


06:56 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.