CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Badnami-e hayat se ranjoor ho gaye, (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/87930-badnami-e-hayat-se-ranjoor-ho-gaye.html)

Chamroti Monday, November 25, 2013 11:03 PM

Badnami-e hayat se ranjoor ho gaye,
 
Badnami-e hayat se ranjoor ho gaye,
A yar teri bat se ranjoor ho gaye,

Yazdaan k hadsat pe hum ne kiya yaqeen,
Apni shikast-e zaat se ranjoor ho gaye,

Murjha k reh gayi gham-e dushnaam ki bahar,
Fasll-e takalufat se ranjoor ho gaye,

Har rah'guzr pe choor hain insaniyat k paon,
Sheeshay ki kaenaat se ranjoor ho gaye,

Apnon ne zindagi main hirasaan kiya mujhy,
Ghairon k iltifaat se ranjoor ho gaye,

SAGHAR sakon de gayi dil ki kask hamen,
Aksar khushi ki baat se ranjoor ho gaye.

SAGHAR SIDIQI


03:54 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.