CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Meri Ankh Main abhi Noor Hai (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/90268-meri-ankh-main-abhi-noor-hai.html)

Maha Khan Friday, February 21, 2014 10:28 AM

Meri Ankh Main abhi Noor Hai
 
[COLOR="Purple"][SIZE="3"][FONT="Book Antiqua"]Mere Tan K Zakhm Na Gin Abhi,
Meri Ankh Main Abhi Noor Hai
Mere Bazo'on Pe Nigah Kar,
Jo Gharoor Tha Wo Gharoor Hai..!!!
Abhi Razm Gaah K Darmiyaan Hai Mera Nishaan Khula Hua
Abhi Taza Dam Hy Mera Farz,
Naye Maarkon Pe Tula Hua
Mujhay Dekh Qabza-e-Taigh Par Abhi Mere Haath Ki Garift Hai....
Bara Muntaqim Hai Mera Lahoo,
Ye Mere Nasab Ki Sarisht Hai
Main Usi Qabeely Ka Fard Hoon Jo Hareef-e-Sail-e-Bala Raha
Usay Margzaar Ka Khouf Kya Jo Kafan Badosh Sada Raha
Mere Ghaneem Na Bhool Too Ke Sitam Ki Shab Ko Zawaal Hai........
Tera Jabr Zulm Bala Sahih Mera Housla Bhi Kamal Hai...........
Tujhy Naz Jo Rasan-o-GurzPar
Mujhay Naaz Apne Badan Par Hai.......
Yahi Nama Bar Hai Bahar Ka Jo Gulaab Mere Kafan Par Hai..[/FONT][/SIZE][/COLOR]

Last Island Tuesday, March 04, 2014 05:31 AM

Written below is the original piece of poetry by Ahmed Faraz.
[FONT=Palatino Linotype][SIZE=3]
Ghaneem se!

Mere tun ke zakhm na gin abhi
Meri aankh main abhi noor hai
Mere bazu'on pe nigah ker
Jo ghuroor tha, wo ghuroor hai.
Abhi taza dum hai mera faras
Naye ma'arkon pe tula hua!
Abhi razm gah ke dermyan
Hai mera nishan khula hua
Teri chashm e bud se rahain nihan
Wo tahain jo hain meri zaat ki
Mujhay dekh qabza e taigh per
Hai garift abhi meray hath ki
Wo jo dasht e jaan ko chaman karay
Yeh sharf to meray lahu ka hai
Mujhay zindagi se azeez tar
Yeh jo khel taigh o gulu ka hai
Tujhay maan josh o garz per
Mera harf e haq meri dhaal hai
Tera jaur o zulm bala sahi
Mera hosla bhi kamal hai
Main us qabeelay ka fard hoon
Jisay naz sidq o yaqeen pe hai
Yehi nama ber hai bahar ka
Jo gulab meri jabeen pe hai..![/SIZE][/FONT]


09:26 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.