CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Us ki aadat thi (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/9092-us-ki-aadat-thi.html)

Last Island Friday, April 20, 2007 01:54 AM

Us ki aadat thi
 
[B]Milay baghair bicharna bhi us ki aadat thi
Milay to baat na kerna bhi us ki aadat thi
Dilon main phelta jata tha roshini ki tarha
Utartay rooh main rehna bhi us ki aadat thi
Sada-e-dil ko na nok-e-zaban kerna tha
Chupa ke pyar jatana bhi us ki aadat thi
Woh meri dastaras main rahay, na rahay ban kay khalish
Dilon kay taar hilana bhi us ki aadat thi[/B]

Sureshlasi Friday, April 20, 2007 03:08 AM

Good shot buddy

Lagta hai Atif ne bhi Addat yahin se create kiya hai........lolz

[B]Saans lenaa bhii kaisi aadat hai
jiiye jaanaa bhii kyaa ravaayat hai
koi aahat nahin badan mein kahiin
koi saayaa nahiin hai aankhoon mein
paav behis hain, chalate jaate hain
ek safar hai jo bahataa rahataa hai
kitne barasoon se, kitnii sadiyoon se
jiye jaate hain, jiye jaate hain


Aadatein bhii ajeeb hotii hain

[/B]

Gulzar

PEERLESS Friday, April 20, 2007 09:54 AM

Barishoon ke mausam mein
tumko yaad karnay ke
aadatain purani hain
ab ki baar socha thaa
aadatain badal dain gay
phir khayal aya ke
aadatain badalnay se
barishain nahee rukti

Last Island Friday, April 20, 2007 10:06 AM

Sabko dost banany ki aadat hai humain.
Apni alag pehchan banany ki aadat hai humain
Kitna bhi gehra zakham de koi..
Utna hi ziyada muskrany ki aadat hai humain !

Last Island Friday, April 20, 2007 10:09 AM

[B]youn tanha jeene ki mujhe aadat si ho gayee hai
Anjaan raahoo pe chalne ki aadat si ho gayee hai

Wo meri mohabbat se rahein be-khabar taa qayamat
Mujhe yeh dua maangne ki aadat si ho gayee hai

Kab tak jhutlaoge un se mohabbat apni
Tumhari ankhon ko such bolne ki aadat si ho gayee hai

Na jane kiyo shaam dhalte hi yeh aankhein bheegh jaati hain
Muje iss chehre ko ashqo mein chupane ki aadat si ho gayee hai

Aasmaa mein chamakta har sitara yeh gawaahi day ga
Mujhe tumhari yaadon mein neendein gawane ki aadat si ho gayee hai

Iss dunia mein shayad meri mohabbat ko koi na samaj sake
Logo ko mujhe nasamajh kehne ki aadat si ho gayee hai

Mehfil mein har shakhs yeh gila karta hai Saahil
Mujhe tanhayoun mein doobne ki aadat si ho gayee hai
[/B]

Sureshlasi Friday, April 20, 2007 02:29 PM

Zaalim thaa woh aur zulm kii aadat bhii bohat thii
majboor thee hum us se mohabbat bhii bohat thii

Us bout ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa hum ne
go apnii tabiyat mein bagaawat bhii bohat thii

Waaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se wo warnaa
dil ke liye thodii sii inaayat bhii bohat thii

Yoon hii nahiin mashhoor-e-zamaanaa meraa qaatil
us shakhs ko is fan mein mahaarat bhii bahut thii

kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil me.n bahut thaa
aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii

har shaam sunaate the hasiino.n ko Gazal ham
jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii

PEERLESS Friday, April 20, 2007 02:53 PM

Kuchh hum bhi thak gaye thay usay dhoondtay hua
kuchh zindagi ke paas bhi mohlat nahee rehi
uski ik ik ada se jhalaknay laga khuloos
jab mujhko aitbaar ki aadat nahee rahi

aur

Rung khushboo libaas hain ab bhi wohi aziz
ab tak teri pasand meri aadatoon main hai


06:52 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.