#1
|
||||
|
||||
Iqbaliat
Kya Ishq Ek Zindagi-E-Musta'ar Ka
Kya Ishq Paaeydaar Se Naa-Paaeydaar Ka Woh Ishq, Jiss Ki Sham'a Bujhaa De Ajal Ki Phoonk Uss Mein Mazaa Nahin Tapish-O-Intezaar Ka Meri Bisaat Kya Hai Tub-O-Taab-E-Yak Naf's Sho'la Se Be Meh'l Hai Ulajhna Sharaar Ka Kar Pahle Mujh Ko Zindagi-E-Jaawedaan Ataa Phir Zauq-O-Shauq Dekh Dil-E-Be-Qaraar Ka Kaanta Woh De Ke Jiss Ki Khattak Laa-Zawaal Ho Yaa Rabb Woh Dard Jiss Ki Kassak Laa-Zawaal Ho |
#2
|
||||
|
||||
Apne mann me doob kar pa ja surag-e-zindagi,
Tu agar mera nahi banta na ban, apna to ban Mann ki duniya soz o masti jazb o shauq, Tann ki duniya sud o sauda makar o fan Mann ki daulat haath aati hai to phir jati nahi, Tann ki daulat chawon hai,aata hai dhan jata hai dhan Mann ki duniya me na paya maine afrangi ka raaz, Mann ki duniya me na dekhe maine Shaikh o Barhman
__________________
Then which of the favours of your Lord will ye deny? Al Rahmaan |
|
|