CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Badal Jata Hay (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/9475-badal-jata-hay.html)

samreen Thursday, May 10, 2007 10:13 PM

Badal Jata Hay
 
[B]
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad[/B]

Hazeleyes Friday, May 11, 2007 12:06 AM

ye shiishe ye sapne ye rishte ye dhaage
kise kyaa Khabar hai kahaaN TuuT jaayein
muhabbat ke dariyaa mein tinkay vafaa ke
na jaane ye kis mor par Duub jaayien

ajab dil kii bastii ajab dil kii vaadii
har ek morr mausam nayee Khvaahishon kaa
lagaaye hain ham ne bhii sapanon ke paudhey
magar kyaa bharosaa yahaaan baarishon kaa

muraadon kii manzil ke sapanon men khoye
muhabbat kii raahon pe ham chal parray thay
zaraa duur chal ke jab aaNkhein khulii to
karrii dhuup mein ham akele kharey thay

jinhein dil se chaahaa jinhein dil se puujaa
nazar aa rahay hain vahii ajanabii se
ravaayat hai shaayad ye sadiyon puraanii
shikaayat nahiin hai koii zindagii se

Waseemtabish Friday, May 11, 2007 12:31 PM

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

samreen Saturday, May 12, 2007 12:48 AM

Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi
hain kitne tanha tere bin hum aaj bhi
kaisi doori huee hai jaana kya bataaon main
guzre lamho main thay jo sapne kabhi
toote sitaare ki tarha gire hain woh aaj bhi

aisi hawa chali thi, dekho chalti hai wo aaj bhi
leke jaati hai kis taraf humne jaana na aaj bhi
aag kaisi jali thi jo jalti gayee
kaisa toofan tha jo ruka na kabhi
meri khushion ne rukh badla aaj bhi

tum thay anjaan ho bekhabar aaj bhi
hum thay maherbaan tumpe hain fida aaj bhi
baat kehdi thi lekin rahi ankahee
milay to sunayenge fasaane kabhi na kabhi
mil jaye do ghari fursat k, maangte hain dua aaj bhi

pal do pal, badalti hai apna rasta kismat aaj bhi
aazmaati hai, leti hai imtihaan aaj bhi
ibtida hansi se huee, intihaa main sabar likha
humne to har mushkil lamhe ko safar ka dost samjha
kya hai chhupa us aakhri din main, uska hai intizaar aaj bhi


02:08 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.