Thursday, April 25, 2024
04:03 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #21  
Old Wednesday, May 09, 2007
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default mein toh maqtal mien bhi qismat ke sikandar nikla

mein toh maqtal mien bhi qismat ke sikandar nikla
qura-e-fa'al mere naam ka aksar nikla

tha jinhein zau'um woh darya bhi mujhi mein daubey
mein keh sehra nazar aata tha, samandar nikla

mein ne os jaan-e-baharaan ko bahut yaad kiya
jab koi phool meri shakh-e-hunar par nikla

shehar waloon ki mohabbat ka qaa'il hoon magar
mein ne jis haath ko chooma wohi khanjar nikla

tu yahein haar gaya hai mere buzdil dushman
mujh se tanha ke muqaabil tera lashkar nikla

mein ke sehra-e-mohabbat ka musafir tha FARAZ
aik jhoonka tha ke khushbu ke safar par nikla
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #22  
Old Saturday, May 19, 2007
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default

tujh se bicharr ke hum bhi muqaddar ke ho gaye


tujh se bicharr ke hum bhi muqaddar ke ho gaye
phir jo bhi dar mila hai, usi dar ke ho gaye

phir yuun hua ke ghair ko dil se laga liya
andar woh nafratein thiin, ke bahir ke ho gaye

kiya laug thay ke jaan se barrh kar aziiz thay
ab dil se mehwe naam bhi aksar ke ho gaye

aye yaad-e-yaar, tujh se karein kiya shikayatein
aye dard-e-hijr , hum bhi toh pathar ke ho gaye

samjha rahe thay mujh ko sabhi naasehaan-e-shehar
phir rafta rafta, khud usi kaafir ke ho gaye

ab ke na intezaar karein chaaragar ka hum
ab ke gaye toh ko-e-sitamgar ke ho gaye

rotay ho ik jazeera-e-jaan ko FARAZ tum
dekho toh kitne shehar, samandar ke ho gaye
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #23  
Old Saturday, May 26, 2007
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default

wohii ishq jo tha kabhi junoon, ose rauzgaar bana diya

wohii ishq jo tha kabhi junoon, ose rauzgaar bana diya
kahien zakhm baich ke aa gaye, kahien shair koi suna diya

wohii hum ke jin ko azeez thi, dar-e-aabro ki chamak dhamak
wohii hum ke rauz-e-siyah mein, zar-e-daagh-e-dil bhi suna diya

kabhi yuun bhi tha ke hazaar teer, jigar mein thay toh dukhee na thay
magar ab yeh hai, kisi meherbaan ki tapaak ne bhi rula diya

kabhi khud ko tuutetay phuutetay bhi jo daikthay toh heziin na thay
magar aaj khau pa nazar parhii, toh shikast-e-jaan ne hilla diya

koi nama deher sheher ka, ke ghazal garii ka bahana ho
wohii harf-e-dil jisse muddatoon, se hum ahhl-e-dil ne bhula diya
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #24  
Old Monday, May 28, 2007
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default

bahut haseen hain tere aqeedatoon ke gulaab

bahut haseen hain tere aqeedatoon ke gulaab
haseen-tar hai har gul-e-khiyaal tera
hum ik dard ke rishtay mein munsalik donoon
tujhe azeez mera fun, mujhe jamaal tera

magar tujhe nahien maloom qurbatoon ke alam
terii nigaah mujhe faasle se chahtii hai
tujhe khabar nahien ke shayad khalwatoon mein merii
lahhu uggaltii hui zindagii karahhti hai

tujhe khabar nahien shayad ke hum wahaan hai jahaan
yeh fun nahien hai, azeeyat hai zindagi bhar ki
yahaan guluaye junoon par kamand parhtii hai
yahaan kalam ki zubaan par hai nauk khanjar ki

hum os qabiila wehshi ke devta hain ke jo
pujaariiyoon ki aqeedat pe bhool jatii hai
aur aik raat ke ma'abood, subah hote hii
wafa parast saleeboon pe jhool jate hain
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #25  
Old Monday, June 18, 2007
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default

ek woh hain jinhein paimaan-e wafa yaad nahin


ek woh hain jinhein paimaan-e wafa yaad nahin
ek hum hain ke jinhein koi jafa yaad nahin

kaun kehta hai ke ab hum ko khuda yaad nahin
haath uthtey hain, koi harf-e dua yaad nahin

dhoondtey phirtey hain galiyoon mein shanasa chehrey
soortein yaad hain kuch unka pata yaad nahin

aeisey hum mahv thay apni hi ghalat-fehmi mein
kab hua kiya hua iqraar-e wafa yaad nahin

saamney unke hain yoon dast-e nadamat ley kar
kin gunahon ki bhugattey hain saza yaad nahin

kiya milega hamein is baab-e-tamanna se Faraz
ayese saahil hain jise koi sada yaad nahin!
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #26  
Old Monday, July 02, 2007
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default

juz tere koi bhi din raat na janay mere
tu kahan hai magar aey dost, puraney mere

tu bi khushboo hai magar mera tajassus baykaar
barg-e-awara ki manind, thikanay mere

shamma ki lau thi ke woh tu tha magar hijjr ki raat
daer tak rota raha koi sarhanay mere

khalq ki be'khabbri hai ke meri ruswaai
log mujh ko hi sunatay hein fasanay mere

aaj eik aur baras beet gaya us ke baghair
jis ke hotay hovay hotay thay zamanay mere

kaash tu bhi meri awaaz kahin sunta ho
phir pukara hai tujhay dil ki sada ne mere

kaash tu bi kabhi aa jaye maseehaai ko
laug aatay hein buhat dil ko dukhanay mere
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #27  
Old Monday, July 02, 2007
Member
 
Join Date: Apr 2007
Location: Multan
Posts: 37
Thanks: 59
Thanked 3 Times in 3 Posts
Rehana kousar is on a distinguished road
Default

haath uThe hai.n magar lab pe duaa ko_ii nahii.n


haath uThe hai.n magar lab pe duaa ko_ii nahii.n
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa ko_ii nahii.n

[duaa = prayer; jazaa = reward]

ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil me.n sadaa ko_ii nahii.n

aa ke ab tasliim kar le.n tuu nahii.n to main sahii
kaun maanegaa ke ham me.n bevafaa ko_ii nahii.n

vaqt ne vo Khaak u.Daa_ii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hai.n phir bhii naqsh-e-paa ko_ii nahii.n

[dasht = desert/wildnerness; qaafile = caravans]
[naqsh-e-paa = footprints]

Khud ko yuu.N mahasuur kar baiThaa huu.N apanii zaat me.n
manzile.n chaaro.n taraf hai raastaa ko_ii nahii.n

[mahasuur = surrounded; zaat = self/one's personality]

kaise raasto.n se chale aur kis jagah pahu.Nche 'Faraz'
yaa hujuum-e-dostaa.N thaa saath yaa ko_ii nahii.n
Reply With Quote
  #28  
Old Monday, July 02, 2007
Member
 
Join Date: Apr 2007
Location: Multan
Posts: 37
Thanks: 59
Thanked 3 Times in 3 Posts
Rehana kousar is on a distinguished road
Default

Khvaab marate nahii.n


Khvaab marate nahii.n
Khvaab dil hai.n na aa.Nkhe.n na saa.Nse.n ke jo
rezaa-rezaa hue to bikhar jaaye.nge
jism kii maut se ye bhii mar jaaye.nge

Khvaab marate nahii.n
Khvaab to raushanii hai.n, navaa hai.n, havaa hai.n
jo kaale pahaa.Do.n se rukate nahii.n
zulm ke dozaKho.n se bhii phukate nahii.n
raushanii aur navaa aur havaa ke aalam
maqtalo.n me.n pahu.Nch kar bhii jhukate nahii.n

Khvaab to harf hai.n
Khvaab to nuur hai.n
Khvaab to suqraat hai.n
Khvaab mansuur hai.n
Reply With Quote
  #29  
Old Monday, July 02, 2007
Member
 
Join Date: Apr 2007
Location: Multan
Posts: 37
Thanks: 59
Thanked 3 Times in 3 Posts
Rehana kousar is on a distinguished road
Default

vafaa ke bhes me.n ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai


vafaa ke bhes me.n ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai

vahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaro.n taraf
jo mere baKht me.n thaa ab nasiib-e-shahar bhii hai

udhar kii aag idhar bhii pahu.Nch na jaaye kahii.n
havaa bhii tez hai jangal qariib-e-shahar bhii hai

ab us ke hijr me.n rote hai.n us ke ghaayal bhii
Khabar na thii ke vo zaalim habiib-e-shahar bhii hai

ye raaz naaraa-e-mansuur hii se ham pe Khulaa
ke chuub-e-mimbar-e-masjid saliib-e-shahar bhii hai

ka.Dii hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz'
amiir-e-shahar bhii hai aur khatiib-e-shahar bhii hai
Reply With Quote
  #30  
Old Monday, July 02, 2007
Member
 
Join Date: Apr 2007
Location: Multan
Posts: 37
Thanks: 59
Thanked 3 Times in 3 Posts
Rehana kousar is on a distinguished road
Default

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai


tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai

mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n
ke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai

'Faraz' raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
English Poetry DANISH_KHAN English Poetry 2 Sunday, October 13, 2019 02:26 PM
History of English literature Naseer Ahmed Chandio English Literature 18 Saturday, October 20, 2012 03:03 PM
Frequently Asked Questions (FAQ) on Ahmedis (Qadianis) saadat110 Islam 1 Wednesday, April 23, 2008 01:43 AM
250 Signs Of The End Times... Chilli Islam 0 Thursday, May 04, 2006 09:36 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.