CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   PCS / PMS (http://www.cssforum.com.pk/punjab-public-service-commission/pcs-pms/)
-   -   Let's Solve Past papers of Urdu (http://www.cssforum.com.pk/punjab-public-service-commission/pcs-pms/46338-lets-solve-past-papers-urdu.html)

Farrah Zafar Sunday, March 13, 2011 12:40 PM

Let's Solve Past papers of Urdu
 
[SIZE="3"][SIZE="3"]Sibgha and others please join me.

Urdu k Optional paper 2 ki tashreeh se ibteda ker rahi hun.
__________________________
__________________________

[B]Aah ko chahye ik Umer aser honay tak
kon jeeta hai teri zulf k ser honay tak[/B]

[B]shayir[/B]:Ghalib

Tashreeh:

Shayir muhabbat k gham se nidhaal hai aur sard aahen us ka muqaddar ban gayi hain.wo kehta hai k mehboob tak dil ki baat pohanchana bohat mushkil hai.kehta hai k us ki aah mehboob pe be'aser hai.shayir kisi shama ki maanind muhabbat mein ghul raha hai mager mehboob ko is se kuch sarokaar nahi.shayir kehta hai k meri aahen abi tou mehboob k dil pe aser nahi kerteen.muddat lagay gi jab ye us k pathar dil ko pighlayen gi.baqol Iqbal;

[B]dil se jo baat nikelti hai aser rakhti hai,
par nahi taaqat e parwaaz mager rakhti hai
[/B]
doosray misray mein shayir is haqeeqat ka aitraaf kerta hai k mehboob ka dil jeetna mushkil he nahi balkay naa'mumkin hai.pehlay misray mein jo umeed ki kiran jhilmalati nazer ayi thi wo doosray misray mein naa'paed hai.shaiyir apnay mehboob k kathorpan se baa'khoobi waqif hai,ye he waja hai k wo kehta hai itni lambi umer nahi meri k tumhe apni muhabbat mein gariftaar dekhun.baqol bahadur Shah zafar;

[B]Umer e daraz mang k laye thay chaar din,
do aarzu mein cut gaye,do intezaar mein.
[/B]
zulf ko ser kernay ki tarkeeb bohat umdagi se shayir ne istemal ki hai.goya shayir mehboob ki zulf ko kisi choti ser kernay se kam nahi samjhta.baqol Ghalib;

[B]ye na thi hamari qismat k wisaal e yaar hota,
ager aur jeetay rehtay ye he intezaar hota[/B][/SIZE][/SIZE]

Farrah Zafar Sunday, March 13, 2011 06:54 PM

[SIZE="3"][B][SIZE="4"]aashiqi sabr talab aur tamanna be'taab,
dil ka kia rang karun khoon e jiger honay tak[/SIZE][/B]

[B][U]Tashreeh:[/U][/B]
is sher k pehlay misray mein shayir kehta hai k ishq wo lagan hai jis mein sabar kiye bagher koi chaara nae.jo is maidaan mein qadam rakh deta hai usay saoobten bardasht kernay aur apnay ranj o gham pe sabar kernay k liye tayar rehna chahye.baqol Momin;
[B]
chara e dil siwaye sabar nahi,
so tumharay siwa nahi hota[/B]

Phir shaiir kehta hai k aashiqi mein sabar ki zaroorat hoti hai aur meri tamanna,meri aarzoo be'qarar hai.yani mujh se ab sabar nahi hota aur mehboob ka wasaal mein jald uz jald chahta hun.
[B]
Le gaya cheen ke kaun aaj tera sabar-o-qaraar
Beqaraari tujhe, ae dil, kabhi aisi tou na thi [/B]

doosray misray mein shayir apni dili kaifiyat batanay k baad sawal kerta hai k ab wo ishq ka dard jiger tak pohanchay tak apnay dil ka kia rang karay?Goya shaair aik intehai dardnaak kaifiyat se guzer raha hai aur usay is dard se nibatnay ka koi tareeqa samjh nae aa raha.us ki yahan ye b muraad ho sakti hai k us ka dil kisi shama ki maanind jal raha hai[/SIZE]

Farrah Zafar Wednesday, March 16, 2011 09:44 PM

[SIZE="3"][SIZE="4"]pertau e khor se hai shabnam ko fana ki taleem,
mein bhi hun aik anayat ki nazer honay tak.
[/SIZE]
[B]pertau e khor[/B]:sooraj ka jalva muraad dhoop

[B][U]Tashreeh:[/U][/B]

shaiyir kehta hai k jesay sooraj ki roshni se shabnam ka qatra bhaap ban k urr jata hai aur us ka wajood baqi nae rehta,isi tarah mein b apnay mehboob ki nazr e karam ka muntazir hun.Goya shayir ye samjhta hai k mehboob ki nazer se wo bhi fana ho jaye ga.Usay apni hasti mitnay ka koi gham nae balkay wo is hasrat mein ghul raha hai k wo waqt kab aye ga jab mehboob ki nazr e iltafaat us pe paray gi.mehboob ki nazer shaiyir k lye sooraj ki tapish jesi hai.yahan shayir ki ye muraad bhi ho sakti hai k us k mehboob ki ankhon mein itni shokhi o shararat hai k wo pal bhar ko un ka samna nae ker sakta ya phr us ki ankhon mein jazbaat lau detay hain,aur in jazbaat mein itni hiddat hai k wo usay kisi shabnam k qatray ki tarah fana ker den gay.kisi shayir ne kia khoob kaha hai;

[B]nigah e yar pe palkon ki gar lagaam na ho,
badan mein door talak zindagi ka naam na ho[/B][/SIZE]

Faiqa Anam Thursday, March 17, 2011 09:49 PM

Farrah kindly suggest me some books which are needed to be consult for complete course

Farrah Zafar Thursday, March 17, 2011 09:57 PM

[QUOTE=Faiqa Anam;279536]Farrah kindly suggest me some books which are needed to be consult for complete course[/QUOTE]

Buy book by Sohail Bhatti and Urdu adab ki mukhtasir tareen tareekh by Dr.Saleem Akhter.

Farrah Zafar Sunday, March 20, 2011 08:15 PM

[IMG]http://i715.photobucket.com/albums/ww156/luscious_photos/PAST%20PAPERS/PMS2008/UrduPaperIIoptionalPMS2009p2.jpg[/IMG]

[SIZE="4"]Q7 [U][CENTER]translation[/CENTER][/U][/SIZE]
[SIZE="4"]
her pakistani shehri ko is baat ki yaqeen dehaani karvai jani chahye k kisi riyaasti ohday daar k hathon un ki tazleel nahi ho sakti.Shehriyon ko aayeen o qanoon ka tahafuzz hasil hai.her pakistani ko yaqeeni toar pe riyasat ki taraf se tibbi sahoolat aur taleem ki farahmi honi chahye.pakistaniyon k izzat o waqar ki nigraan riyasat khud hai.Taham aazadi k 61 saal guzernay k ba'wajood ham apnay shehriyon ko muft taleem aur tibbi sahoolat muhayya kernay se qaasir hain.Pakistan k ziada tar shehri aur daihi hisson mein rehnay walay bachay aik aisay khala ko taktay hain jahan unhe apna mustaqbil nazer nahi aata.kia is surangg k ikhtamam pe kahin roshni bhi hai?[/SIZE]

Farrah Zafar Tuesday, March 29, 2011 03:39 PM

[IMG]http://i715.photobucket.com/albums/ww156/luscious_photos/PAST%20PAPERS/PMS%202005/urduiipms2005.jpg[/IMG]

[SIZE="3"][U][B]Q1)Tashbeeh[/B][/U]

aik cheez ki khoobi bayan kernay k liye us ka kisi doosri cheez se muaazna karna

wo chand si haseen hai
[B][U]
Misaal:[/U][/B]

Nazuki us k lab ki kia kahye,
pankhrri ik gulaab ki si hai..

[B][U]Istea'ara:[/U][/B]
aik cheez ki khoobi bayan kernay k liye usay hoo'bahu doosri cheez qaraar de dena

wo larki tou chand hai

[B][U]misaal:[/U][/B]

Utha ker phaink do baahir gali mein,
nayi tehzeeb k anday hain ganday

[B]Q2:[/B]
a)
b)shabistan e muhabbat mein[B] hareer-o-par niyaan[/B] ho ja..[B](Iqbal)[/B]

c)kheera na ker saka[B] mujhe Jalwa e daanish e[/B] farang..[B](iqbal)[/B]

d)Teshay bagher [B]mar na saka kohkan[/B] Asad....[B](Ghalib)[/B]

e)wo pari hain[B] roz qayamten k khayal e[/B] roz e jaza gaya.....[B](Faiz)[/B][/SIZE]

Farrah Zafar Thursday, March 31, 2011 10:29 PM

[CENTER][SIZE="3"][B]Q4[/B]

Ganjay Farishtay=[B]Saadat Hasan Manto[/B]

Tauba tul nasooh=[B]Deputy Nazeer Ahmad[/B]

Bagh O bahar=[B]Meer Amman[/B]

Ba'jang aamad=[B]Col.Muhammad Khan[/B]

shehr e afsos=[B]Intezar Hussain[/B]

___________________________________

[B]Q5[/B]

Ibn e Insha=[B]Chaltay ho tou cheen ko chalye
[/B]
Ahmad Nadeem qasmi=[B]Kapas ka phool[/B]

Abdul Haleem sharar=[B]Firdaus e barreen[/B]

Ashfaq Ahmad=[B]Safar dar safar[/B]

Perveen Shakir=[B]Khushbu[/B][/SIZE][/CENTER]


08:05 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.