CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   PCS / PMS (http://www.cssforum.com.pk/punjab-public-service-commission/pcs-pms/)
-   -   urdu compulsory pms (http://www.cssforum.com.pk/punjab-public-service-commission/pcs-pms/52052-urdu-compulsory-pms.html)

sumyra Monday, July 25, 2011 04:35 PM

urdu compulsory pms
 
can any one tell me plz how to start urdu essay....for example if we have to write essay on [COLOR="Black"][B]''Islami dunia ka haal aur mustakbil"[/B][/COLOR]...then how to write an impressive first paragraph...can any one post an essay with outline just to tell important tips to write essay...:waiting

bilal saleem Tuesday, July 26, 2011 12:44 PM

for urdu essay
 
read urdu news paper editorials nd relevents articles for urdu essay..its hike ur urdu knowleged nd material for essays..

regards
KAYANI

Farrah Zafar Tuesday, July 26, 2011 11:32 PM

[FONT="Comic Sans MS"][SIZE="4"][QUOTE=sumyra;333604]can any one tell me plz how to start urdu essay....for example if we have to write essay on [COLOR="Black"][B]''Islami dunia ka haal aur mustakbil"[/B][/COLOR]...then how to write an impressive first paragraph...can any one post an essay with outline just to tell important tips to write essay...:waiting[/QUOTE]
[CENTER]
[SIZE="4"][U]Islami dunya ka haal aur mustaqbil[/U][/SIZE][/CENTER]

sab se pehlay sher likhen koi.misaal k toar pe;

[CENTER][SIZE="4"]wo zamanay mein moa'zaz thay musalma'n ho ker,
aur tum khawaar hue taarik e Quraa'n ho ker..!![/SIZE]

[/CENTER]

~~musalmano'n k maazi se shuru kijiye.unki us shaan o shaukat ka ziker kijiye jo ab qissa e paareena ban chuki hai.pehlay paragraph mein lafzon se khelye..matlab khoobsoorat/jaandaar alfaaz ka istemaal.e.g

-->aik waqt tha musalmaan poori dunya per aber e baa'raan ki soorat chaye hue thay..sehraa unki haibat se do'neem...pahaarr unki dehshat se raayi aur kuffaar unkay qadmon ki aahat se larz larz jatay thay..

~~is k baad ap muslamano'n k zawaal k asbaab bayan kijye jis mein nafaaq....ittehaad ka fuqdaan ser e fehrest hain..

~~mojooda halaat ka ziker kijiye...islaami dunya mein anay walay naam nehaad inqilabaat ka ziker kijiye. behrain,miser,tuinis aur lebia ki sayaasi halaat ka naqsha khenchye...

~~musalmaan mumaalik k apis k talluqaat pe roshni daalye..saudi arab aur Pakistan k talluqaat..ya iran aur turkey k..wghera wghera.

~~Islami dunya k wasaayil ka ziker kijye..coal,oil,sui gas etc jesay khazanay islami mumaalik k paas hain..tamaam positive points ka tazkara kijiye.

~~wasaayil ka ziker kertay hue is baat per zor dijiye k Islami dunya ka mustaqbil un k apnay hathon mein hai kiun k qudrat ne koi kami nae chori..un k apis k ittehaad ki ehmiyat per zor dijye..yani mukhtasir ye k mustaqbil roshan ho sakta hai.

*ashaar aur ayaat zaroor likhen.

Umeed hai ap ki uljhan khatam ho gayi ho gi:)

ik aur essay ki outline ap yahan dekh skti hain;

[url=http://www.cssforum.com.pk/321339-post108.html]CSS Forums - View Single Post - Urdu Compulsory(PMS)[/url][/SIZE][/FONT]

sumyra Thursday, July 28, 2011 09:58 AM

thank u so much for ur guidance...:)one more question plz...urdu essay likhne kelie authentic material b hona chahie..is kelie koi book consult karen or just newspapers are enough??aur poets aur afsana nigar pe jo essay ata he aksar,us kelie kahan se prpare krna he??

Farrah Zafar Thursday, July 28, 2011 10:51 PM

[QUOTE=sumyra;334610]thank u so much for ur guidance...:)one more question plz...urdu essay likhne kelie authentic material b hona chahie..is kelie koi book consult karen or just newspapers are enough??aur poets aur afsana nigar pe jo essay ata he aksar,us kelie kahan se prpare krna he??[/QUOTE]

ye tou essay pe depend kerta hai k kis qism ka hai.current affairs pe ho ga tou newspaper e kafi hain.Poets aur afsana nigaar ap ko tayar kerny paren gy.I have a book "Urdu mazameen" by Abid Chaudhary,it's fine,you may buy:)


05:57 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.