View Single Post
  #2  
Old Friday, February 03, 2006
Chilli Chilli is offline
Senior Member
 
Join Date: Oct 2005
Location: Lahore
Posts: 140
Thanks: 0
Thanked 27 Times in 12 Posts
Chilli is on a distinguished road
Default Para from her novel Haasil

Main nahin jaanti, main nay yeh sab kyuon kiya..mujhay yeh sab karna bhi chahiye tha ya nahin..laikin shayad un dinon main itnay pachhtaawon ka shikaar thi kay bus kisi bhi qeemat par kisi bhi tarah wo sab haasil kar lena chahti thi jo main nay kho diya tha..aik din main musalmaan thi aur aglay din kuch bhi nahin thi..kuch honay say kuch na honay kay safar main nay apni marzi say te'y kiya tha..kahin koi mushkil paish nahin aayee..wapsi ka safar main nay kaanton par te'y kiya hai..wapis wahien tuk pauhn'chnay main mujhay kai saal lag gaye aur main aaj bhi nahin jaanti kay main khuda kay nazdeek kahan khari hoon..jub main nay tumko apna mazhab chhornay ka iraada kartay dekha to main nay socha..agar main tumhain is kaam say rok loon to shayad Allah meray gunaah maaf kar day ..shayad wo meri zindagi aasaan kar day shayad wo...main maanti hoon us waqt main nay khud gharzi dikhaai thi ..main nay socha tha kay Allah naiki ka ajar zaroor deta hai..yahan bhi..wahan bhi..main nay socha kay agar main naiki karoon to..main maanti hoon main nay us waqt bhi sirf apna socha tha ..main yeh sab apnay liye karna chahti thi..tumharay liye nahin..apna mazhab chhor kar main jannat say nikal aayee thi..wapis jaanay kay liye mujhay naikiyon kay saaharay ki zaroorat thi..main nay tum say mohabbat ka izhaar bhi isi liye kiya tha taakay..tum mujh par aitamaad karnay lago..yeh samajhnay lago kay main tumhain apnay mazhab islam par qaaim dekhna chahti hoon..mujhay tum say us waqt mohabbat nahin thi Hadeed..main tum say mohabbat karnay kay qaabil hi nahin thi..

David say main nay khud mohabbat ki thi..tum say Allah nay karwaayee hai..in Chhay saalon main har baar namaaz parhnay kay baad main nay aik hi dua ki thi kay main tumhain kabhi na dekhoon...tum say kabhi na miloon..main nay Allah say kaha tha kay wo tumharay saamnay meray aibon ko chhupa kar rakhay..wo tumharay saamnay to mera parda rehnay day..chhay saal meri dua qubool hoti rahi..main nay tumhain nahin dekha..aaj pehli baar main yeh dua karna bhool gai aur..aur tum meray saamnay aa kharay hua aur..wo bhi har raaz ko jaantay huay...

Tumhain yaad hai jub tum mujh say pehli baar milay thay to tum nay kaha tha kay duniya main tumhara koi nahin hai..main tumhain batana chahti thi kay duniya main buhat say log meray hain magar meray liye koi nahin hai..tumhain khuda nay buhat say rishton say mehroom rakha aur jo rishtay chheenay..wo Allah nay chheenay..mujhay Allah nay har rishtay say nawaza tha aur har rishta main nay khud ganwaya tha..apnay haathon say..aaj duniya main shayad koi bhi aisa nahin jo meray liye rota hoga..mujhay yaad karta hoga aur picchhlay chhay saalon main..main har raat yehi soch kar soya karti thi kay tum..tum kabhi na kabhi mujhay zaroor yaad kartay hogay..duniya main buhat kam log aisay hotay jin say aap mohabbat kartay hain..un say bhi kam log aisay hotay hain jo aap say mohabbat kartay hain..mujhay pata tha kay tumhain mujh say mohabbat thi..laikin ab nahin hai..main yeh bhi jaanti hoon..
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Chilli For This Useful Post:
abi khan (Saturday, March 21, 2009), kinza kazmi (Monday, March 18, 2013)