Waddah nahi karta
Salook-e-Narawah ka iss liyay shikwa nahi karta
Ke Mai Abb kisi baat ki, parwa’h nahi karta
Bohat hoshiyaar hoo’n apni larayee app larta hoon
Mai dil ki baat deewaar pe, likha nahai karta
Agar parr’h jaye aadat apnay sath rehnay ki
Yeh sath aiisa hai ke insaan ko, tanha nai karta
Zameen pairoo’n se kitni baar hi din mai nikalti hai
Main aisay haadsoo’n per dil magar, chota nai karta
Tera issraar sarr ankhoon pe tujh ko bhool janay ka
Main koshish kar ke daikhon ga magr, Waddah nahi karta