View Single Post
  #2  
Old Monday, February 06, 2006
Eram Khan's Avatar
Eram Khan Eram Khan is offline
Poetess of the Forum
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Medal of Appreciation
 
Join Date: Dec 2005
Location: Dubai
Posts: 144
Thanks: 0
Thanked 41 Times in 12 Posts
Eram Khan is on a distinguished road
Default Tum say kia kahain Janan,is Kadar Jhamailay main



Wakt ki Rawani hay,Bakht ki Giraani hay…
Sakht Bay Zameni hay,
Sakht La-Makani hay..

Hijr kay Samandar main, Takht our Takhtay ki…
Aik hi Kahani hay,
jo TumKo Sunaani hay…

Bat gou Zara si hay,
Bat Umr-Bharr ki hay…
Umr bhar ki Batain kabb,
Do Ghari main hoti hayn..

Dard kay Samandar main.,An Ginat Jazeeray hain..
Bay-Shumar Moti hain…

Aankh kay Dareechay main, Tum nay jo Sajaya tha..
Baat Us Diye ki hay,
Bat uss Gilay ki hay..

Jo Lahu ki KhiLwat main,Chour ban key aata hay..
Nabz ki Faseeloun pe toot toot jata hay…

Zindagi si Lambii hay,Bat Rat-Jugay ki hay…
Russtay main kaysay hoo ?
Bat Takhliye ki hay….

Ho Sakay to Sun jao, ik Din Akailay main…
Zindagi kay Mailay main…
Khua’hishon kay Railay main….

Tum say Kiaa Kahhain Janan.
Is Qadar Jhamailay main…
Zindagi kay Mailay main..
Khua’hishoun key Railay main…
__________________
*"Learn alll the Rules so that u know how to Break them ...

*if Your Words are not SUCH Powerful as Your Silence Then "Shut-up" !
Reply With Quote