View Single Post
  #1  
Old Wednesday, January 14, 2009
The Star's Avatar
The Star The Star is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2007
Location: Sargodha
Posts: 420
Thanks: 380
Thanked 448 Times in 216 Posts
The Star has a spectacular aura aboutThe Star has a spectacular aura aboutThe Star has a spectacular aura about
Default Yeh baatein jhooti batein hain

Yeh baatein jhooti batein hain,Yeh logon ne phelai hain.
Tum Insha je ka naam na lo, Kya Insha je saudai hain?

Hain lakhoun roog zamaney main, Kyun ishq hai ruswa bechara
Hain aur bhee wajhain vehshat kee,Insaan ko rakhtein dukhyaara
Haan be'kul be'kul rehta hai , Ho peet main jis ne jee hara
Per shaam se le ker subha talak,Youn kaun phirey ga awara
Yeh baatein jhooti baatein hain,Yeh logon ne phailai hain
Tum Insha je ka naam na lo, Kya Insha je saudai hain?

Yeh baat ajeeb sunatey ho,Woh duniya se be'aas huay
Ik naam suna aur ghush khaya,Ik zikr pe aap udaas huay
Woh ilm main Aflatoon suney, Woh shair main Tulsi daas huay
Woh tees baras k hotey hain, Woh BA, MA paas huay
Yeh baatein jhooti baatein hain,Yeh logon ne phailai hain
Tum Insha je ka naam na lo, Kya Insha je saudai hain?

Ger ishq kiya hai tub kya hai ,kyun shaad nahi aabad nahi
Jo jaan liye bin tal na sakay, Yeh aisee bhee uftaad nahi
Yeh baat toh tum bhee mano gye,Woh Qais nahi Farhad nahi
Kya hijr ki daro mushkil hai? Kya Wasl k nuskhey yaad nahi
Yeh baatein jhooti baatein hain,Yeh logon ne phailai hain
Tum Insha je ka naam na lo, Kya Insha je saudai hain?

Woh larki achi larki hai Tum naam na lo hum jaan gaye
Woh jis k laambey gai'soo hain, Pehchaan gaye pehchaan gaye
Haan sath hamarey Insha bhee uss ghar main they mehmaan gaye
Per iss se toh kuch baat na kee, Anjaan rahay, Anjaan gaye
Yeh baatein jhooti baatein hain,Yeh logon ne phailai hain
Tum Insha je ka naam na lo, Kya Insha je saudai hain?

Jo hum se kaho hum kehtey hain, kya Insha ko samjhana hai
Iss larki se bhee keh lein gye, go abb kuch aur zamana hai
Ya chorein ya takmeel kerain, Yeh ishq hai ya afsana hai
Yeh kaisa gorakh dhanda hai?, Yeh kaisa tana bana hai?
Yeh baatein jhooti baatein hain,Yeh logon ne phailai hain
Tum Insha je ka naam na lo, Kya Insha je saudai hain?
__________________
The color of blood in my veins is green,I am a proud Pakistani.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to The Star For This Useful Post:
happy ending (Tuesday, April 14, 2009)