Thread: Mari Pasand
View Single Post
  #1  
Old Wednesday, February 25, 2009
arsa's Avatar
arsa arsa is offline
Senior Member
 
Join Date: Jun 2008
Location: lahore
Posts: 612
Thanks: 212
Thanked 293 Times in 204 Posts
arsa will become famous soon enough
Default Mari Pasand

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein k meri nazar ko khabar na ho
Mujhy aik raat nawaz day magar is k baad saher na ho !!!


Who bada Raheem-O-Kareem hy mujhy ye sifat bhi aata karay
Tujhy bholnay ki dua kron Tou Meri dua mein Assar na ho !!!


Mery Bazoo’on main thaki thaki abhi mahav khwab hy chandni
Na uthy sitaroon ki paliki abhi aahatoon ka guzar na ho !!!


Ye gazal k jaisy hiran ki aankh mein pheeli raat ki chandni
Na bujhay Kharabay ki rooshni Kabhi becharag ye ghar na ho !!!


Kabhi din ki dhoop mein jhool K Kabhi shub k phool choom k
Yoon bhi sath sath chaplain sada, kabhi khatm apna safar na ho !!!


------------------

Main Apne Ap Ko Ab Bawafa Sa Lagta Hon...!!



Sabhi Say In Dinoon Rotha Howa Sa Lagta Hon
Main Apne Ap Ko Ab Bawafa Sa Lagta Hon

Tamam Raat Main Gerti Hoyee Haweli Main
Diloon Say Nikle Hoyee Bad'duaa Sa Lagta Hon

Main Wo Khazana Hon Haq'dar Jis Ki Duniya Hai
Hazar His'soon Main Ban'tan Howa Sa Lagta Hon

Meri Talash Ba'dastor Jari Hai
Wo To Mil Gaya Main Kho'yaa Howa Sa Lagta Hon

Meri Hansi Say Udasi K Phol Khiltey Hain
Main Sab K Sath Hon Lakin Juda Sa Lagta Hon

Ca'mak Raha Tha Wo Cheraa Kisi Ki Ankh Main
Main Aaeenay Main Koi Dos'raa Sa Lagta Hon

Tamam Raat Barasti Hai Rait Par Shabnam
Main Apne Chand Say Jab Bhi Khafa Sa Lagta Hon


!!Bashir Badar!!


------------------------------

ajnabi sheher k ajnabi rastay
meri tanhaii per muskoratay rahay

main bohat der tak yunhi chalta raha
tum bohat der tak yad atay rahay

zeher milta raha, zeher peetay rahay
roz mertay rahay, roz jeetay rahay
zindagi bhi hamain azmati rahi
or hum bhi usay azmatay rahay

ajnabi sheher k....

Kal kuch aisa howa, main bohat thak gaya
is liyay sun k bhi un suni ker gaya
kitni yadon k bhatkay howay karwaan
dill k zakhmon k darr khatkhatatay rahay

ajnabi sheher k....

zakhm jab bhi koii zehn o dill per laga
zindagi ki taraf ik dareecha khula
hum bhi goyaa kisi saaz k taar hain
chott khatay rahay, gungunatay rahay

ajnabi sheher k ajnabi rastay
meri tanhaii per muskoratay rahay
main bohat der tak yunhi chalta raha
tum bohat der tak yaad atay rahay!!!!!!!
__________________
Never give someone "all your love"--Save it for the Lord Above.

Last edited by Predator; Thursday, February 26, 2009 at 09:21 AM.
Reply With Quote