Lakin hum ye kuon kehty hain ky: ye ho gaya bus kia karain taqdeer main likha huwa tha?
in alfaz sy to ye mahsos hota hy ky taqdeer koe esi cheez hy jo hamary hath main nhi, uncontrolable.
Ya to hum alfaz ka usage ghalat karty hain ya to ye explanation perfect nhi
Taqdeer to likh di gayee hai lakin insaan apnay Amal say dua say taqdeer badal sakta hai taqdeer liknay k baad Allah ne bohat say faslay insaan k hath mein rakh deyein jin mein good or bad ka farkh(difference)janay ka ikteeyar insann k pass han agr aasa na hota to Qayamaat k din Allah hissab kis baat ka lata Hum insaan kudh Allah say sawaal karty k meri taqdeer mein to app ne ilkh deya tha k mein bura insaan hon to abb mujhsay kya poctay hein ...nahi bulkay Allah hum say sawaal karay ga k mein ne tumhein aqal di Kitaab di ik sacha dein dya aor bohat c nisahniyan dein phir tum ne kya keeya.
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...
Last edited by Xeric; Wednesday, March 04, 2009 at 05:04 PM.
|