abba jee mujhy jb kabhi maartay tu amma bacha leti thi
aik dn main ne socha agr amma meri pitaai karain tu abba g kya karain gay
ye dekhnay k lye main ne ami ka kaha na maana
unhonne kaha bazaar se dahi laa do main ne na laa kr d
unhun ne saalan kam dia main ne zyada per israar kia
unhon ne peerhi per beth kr khana khanay ko kaha main dari becha kr zameen
pr beth gya
kapray mailay kr liye
lehja b ghustakhaana tha mujhy umeed the ab ammi zaroor marain ge
lakin unhun ne mujhy seenay se laga kr kaha
""kyun puttur maa sadqay kahen bemaar tu nahi""
tb meray aansu thay k ruktay nahi thay
its was mirza adeeb(matti ka diya)
but now its my turn to express my feelings.........
Aik saibaan ki manind
Saaaya hai uska mujh par
Roshan charag ban kar
Munawar kiya mera paikar
Aasiyaana bana kar
Panah di mujhy har pal
Taiz aandhi se
Taiz tufaan se takra kar
Tamam aafton se
Museebaton se lar jhgar kar
Hameesha muj ko sambhaal rakha
Hameesha mera khyaal rakha
Vo aik hasti ,vo ik saraapa
Vo aik gulshan vo ik bayaban
Usi ka naam to ha MAAN...............i luv my amma
wt u say about ur mom