View Single Post
  #39  
Old Tuesday, June 16, 2009
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default

Dunyaa ka koi darwaaza nahi hota k jisay khol kar ham iss say bahar nikal jaaein..
Dunyaa ki sirf,,khirrkiyaan hoti hain, jin say ham bahar jhaank saktay hain.
Baaz dafa ye khirkiyaan dunyaa say bahar kay manzar dikhaati hain,, Or baaz dafa ,,,apnay andar kay manzar dikhaanay lagti hain.
Magar rihaaai or faraar main kabhi madad nahi detein!!


Hum sab laug ek aisi race main dhorh rahe hain jaha'n koi finishing line nahi hai .......



mohabat aur izat-e-nafs ka apas mein baraa gehra taluq hota hai, muhabbat sab se pehely izat-e-nafs ko khatam ker daiti hai. Ya banda muhabbat ker le ya
phir apni izzat, haath ki muthi mein dono cheezain ikkhati nahi aa saktin.......


Duniya me larkiyo'n se ziyaada eh'maq koi aur nahi hota. Khush'fehmi ka aagaaz aur ikhte-taam hum per he hota hai. Saari umer hum Mohabbat ki baysaakhiyo'n ka intazaar karti rehti hain. Taakay zindagi ki race shuru kar sakain. Humai'n har mard k baaray main yeh khush'fehmi hoti hai k woh aaye ga humai'n dekhega aur humaara ho jaayega koi hum se humdardi karay toh humai'n khush'fehmi hone lagti hai. Koi humai'n saraa'hay toh humai'n woh apni muthi me qayd nazar aane lagta hai. Koi humaare saath waqt guzaare toh humaare hosh-o-hawaas apne thikhaane per nahi rehte. UMER ka khayal hai mujh me meturity nahi hai. Yeh toh kisi larki me b nahi hoti kabhi larkiya'n b kabhi meture hoti hai'n?
Hum me meturity sirf tab aati hai jab humai'n reject kar diya jaata hai.......



Roshni moh'jazay karti hai... Wajood ko iss tarah ayaa'n karti hai k kisi farayb aur dhokay main rehna mumkin he nahi rehta... Muqadar ko munnawar kar deti hai... Haar maananay per qabar main gaarh deti hai... Na maananay per saleeb per charhaa deti hai... Bus cheezo'n ko unke muqaam per rehne nahi deti... Paaras se chuway bagayr b insan sona ban jaata hai aur aag k paas aaye bagayr b mom ki tarah peeghalnay lagta hai... Roshni waa'qee moh'jazay karti hai.........


Amar bail ....

************************************************** ********


Iss genration k problems aur hain. Aapke zamaane ki tarah humaara waahid problem aapne aapko aur apne khandaan ko ziyada se ziyada cultured, Treditional aur arsto-cretic bana kar paysh karna nahi hai. Humko ziyada se ziyada manners na sikhaayain humko yeh bataayain k hum itni tayzi se badalti huwi duniya main apna wajood kaise qaayiam rakhan. Apne liye konsi values ka intekhaab karain aur phir kaise in values ko Intact rakhain relationship kaise banaayain aur unhain barqaraar kaise rakhain. Apna mental equilibrium kaise rakhain? Jab stress ho'n toh iss se kistarah larhain? Jab depration ho toh iss se kistarah nijaat haasil karain apni tanhaayi ka elaaj kis cheez se karain? Aapki genration ne zindagi ko ache marks aur ache manners k darmiyan iss tarah taqseem kar diya hai k hum main se bohat se toh waise he ghum hojaate hain.........




shaid main abhi bhi mature nahi hoyi hon... shaid main kabhi bhi mature nahi ho sakti, ya phir omer jehangir woh hudd hai, jahan meri maturity kahtam ho
jaati hai, mere hawas kaam kerna chor daitey hain. phir main sirf woh daikhti, woh sunti aur kehti hon jo iss ki khwahish hoti hai. Kia isi kaifiyat ko
muhabbat kehtey hain?
Isse apni ankhein dhundali hoti mehsoos hoyi
Aitraf ka lamha azab ka lamha hota hai ........





Amar bail .
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...

Last edited by Predator; Tuesday, June 16, 2009 at 03:04 PM.
Reply With Quote