View Single Post
  #42  
Old Tuesday, September 15, 2009
Symbol Symbol is offline
Member
 
Join Date: Nov 2007
Posts: 25
Thanks: 14
Thanked 21 Times in 10 Posts
Symbol is on a distinguished road
Default

Gunahon Ki Adat Churah Meray Mowla,
Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla


Meri Sabhi Har Khatha Meray Mowla,
Tu Rehmath Sey Apni Mita Meray Mowla


Tu Qudrat Say Apni Badal Naikyon Sey,
Har Ik Meri Laghzish, Khata Meray Mowla


Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla

Jo Tujh Ko Jo Teray Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Ko Pasand Hai,
Mujhay Aisa Bandhah Bana Meray Mowla


Tu Masjood Mera Main Saajid Hu Tera,
Tu Malik, Main Bandha Tera Meray Mowla


Tu Matloob Mera Main Talib Hu Tera,
Mujhay Deyday Apni Wila Meray Mowla


Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla

Tu Leyga Agar Adal Sey Kaam Apnay,
Main Hun Mustahik Naar Ka Meray Mowla


Tujay Waastha Teri Rahmat Ka Ya Rabb,
Jahannam Sey Mujh Ko Bacha Meray Mowla


Jo Rahmath Teri Shah Miley Haal Ho Tho,
Tikana Hey Jannath Mera Meray Mowla


Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla

Meri Tha Qiyamat Jo Nasley Ho Ya Rabb,
Ho Sab Aashiq-E-Mustafah Meray Mowla


Mujhay Bhi Dikhaday Tu Jalwa Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Ka
Yahi Hai Meri Iltijah Meray Mowla


Jinon Ney Kaha Hai Duaon Ka Mujh Sey,
Tu Kar Dey Sabhi Ka Bhala Meray Mowla


Rula Tu Mujhay Bas Gham-E-Mustafa (Sal Allaho Alehi Wasallam) Main,
Na Duniya Keh Gham Mein Rula Meray Mowla


Na Mohtaaj Kar Tu Jahan Mein Kisi Ka,
Mujhay Muflisi Sey Bacha Meray Mowla

Hai Ka'bay Pay Nazray Obaiday Raza Ki,
Ho Maqbool Har Ik Dua Meray Mowla

Mujhay Naik Insaan Bana Meray Mowla
Reply With Quote