Main nay tujhe us umer main chaha tha Arz-e-Watan
Jab shao'or aaj ki surat mera baidaar na tha
Main nay us waqt bhi likhay thay kaye geet teray
Jab meray zehan main lafzon ka ambaar na tha
Ek be-naam si khalish rakhti thi be-chain mujhe
Jab meray bas main jazbon ka izhar na tha
Main nay us door main maangi thi teray dar pe panah
Jab yahan door talak saya-e-deevar na tha
Yaad hay mujhe ko wo aaghaz-e-safar ki baten
Kon tha jo teri chahat main giraftaar na tha
Aag main phool khilatay hoye aatay thay magar
Koye lab harf-e-shikayat ka gunah gaar na tha
Sabar aur shukar k paikar thay sab hi deevanay
Hawis o hirs main koye bhi giraftaar na tha
Azam roshan tha nigahon main shararon ki tarhan
Marhala koye bhi apnay liyen dushwar na tha
Aaj kyon Qarz-e-Watan bhool gaye hain hum log
Pehlay to apni wafaon ka ye mayyar na tha
Aaj kya baat hay kyon tujhe say hamen pyar nahin
Aaisa lagta hay hamen tujhe say kabhi pyar na tha