View Single Post
  #16  
Old Thursday, June 24, 2010
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default

Not Every one just those pplz jo Ahmed Fraz k martabey aur Moqaam ko nahi samhj patey
who un k Ashar ka mazaq banatey hain
aur Ye waqai disgusting hai, k aap apnay qomi sarmaey ka khud mazaq uRa rahay hain
as a Nation ya hamaray liya aik lamha-e-fikarya hay ..
Poori dunya k log apnay qomi sarmaey ko promote kartay hain
aur ek hum hai jo apney
sharion Adeeboon Danishwaroon aur falsafion ka mazaq bana kar apna mazaq banwatey rahey hain
world nations main agar hum daikhaien to sirf un nations nay taraqi ki hay jinhoon nay
apney poets philosophers writers ko izat di hay un ki baton ko samjha hay .

kabhi shakespare k naam se to lateefay nahi aaey
Methew hudson Mopasan ka to kabhi kisi message may mazaq nahi uRaya gaya
Saahir ludhyanvi Gulzaar basheer badar jawed akhtar un ki poetry k tu ateefay kabhi forward nahi huway ...

Hum main say who jo Ahmend Fraz ka mazaq uratey hain un k intahai serious Ashaar k jokes bana kar SMS
par forward kartey hain intahai Naqis-ul-Aqal aur kum ilami hune ka shuboot detay hai .....

Dekhane Men Shaakh-E-Gul Lagate Hain Lekin Dekhanaa
Dast-E-Gulchiin Ke Liye Talvaar Ban Jaayenge Ham

Ham Chiraagon Ko To Taariikii Se Ladanaa Hai ‘Faraz’
Gul Hue Par Subah Ke Aasaar Ban Jaayenge Ham .....
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to sara soomro For This Useful Post:
Farrah Zafar (Saturday, July 03, 2010)