View Single Post
  #1  
Old Monday, August 28, 2006
QamarCheema's Avatar
QamarCheema QamarCheema is offline
34th Commons (PAAS)
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason: Qamar Riaz.........Merit 124....Audit and Account--CSS 2005Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Nov 2005
Location: in your hearts
Posts: 70
Thanks: 12
Thanked 160 Times in 32 Posts
QamarCheema is a jewel in the roughQamarCheema is a jewel in the roughQamarCheema is a jewel in the rough
Default Majeed Amjad ----------A Great Poet

Aik Naz'm


Doost' yeh sub such hay' laikan zindgi
Kaat'ni tu hay' Bas'r karni tu hay !
Ghaat mein ho munta'zer chalay payh teeer
hirneohn nay chok'di bharni tu hay

kaat de kitni ratoon ke gardnain'
Bhagtay lamhoon kay chaltay aaroon nay
han' yeh sub such hay' per iss ka kia ilaaj
chaar din jeena hay hum baycharoon nay

Hum nay bhi apni naheef awaaz ko
shaamal-e-shor-e-jehan karna tu hay!
Zindgi ik gah'ri ' kad'wee' lambi sans
Doost ' pehlay jee bhi lein' marna tu hay

Maot kitni teera-o-tareek hay !
Ho ge' laikan mujhay is ka gham nahin
Qabar kay andhay gad'ay kay is tarf
is tarf ' baher ' andheara kam nahin

Han isi gum sum andhearay mein abhi
beth kar woh raakh chu'nuni hay hamean
Raakh ' un duniaon ke' jo jal bujhein
Raakh ' jis mein lakh khoneenh shabnamean
Zees't ke palkoon say tup tup phoot'ti
janey kab say ' jazb hoti aaen hein
kitni roohain ' un zamanoon ka khameer
apnay ashkoon mein samooti aaean hein

jaanta hoon ' meray dil ke aag ko
Chand(Few) mah-o-saal kay eendhan ka dhair
dair tak tabnida rukkh sakta nahin

Zees't amkaanaat ka ik her pphair
kia ajab hay' meray seenay ka shar'er
ik tamna'aey baghal geeri kay saat
waq't kay murgghat pay banhein khool day
ik nirali sub'h ban jaey yeh raat

A selection from Shab-e-rafta by Majeed Amjad

Qamar
Reply With Quote