I would like to allaborate it with the help of poetry that why muslims are backward as compare to the other nations.
Aur tum khwar huve taarik-e-Quraan ho kar
Taba'e aazad pe Qaid-e-Ramazan bhari hai
Bech khaate hain jo aslaaf ke madfan tum ho
Kis qadar tum pe giran subh ki bedaari hai
Allah se kab pyar hai, han neend tumhen pyari hai
Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain.
Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain?
Qalb me Soz nahi, Rooh me Ehsaas nahin
Kuch bhi Paigham-e-Muhammad(SAW) ka tumhen paas nahin
rah gayi rasm-e-azan rooh-e-bilaali na rahi
falsafa rah gaya, talqeen-e-gazali na rahi
Masjiden marsiya khwan hain ke Namazi na rahe
Ya'ni wo sahab-e-awsaaf-e-Hijaazi na rahe
Khud kushi Shewa tumhara wo Ghuyur-o-Khuddar
Tum ukhuwwat se gurezan, wo ukhuwwat pe nisar
|