View Single Post
  #1  
Old Friday, February 04, 2011
Last Island's Avatar
Last Island Last Island is offline
Royal Queen of Literature
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: AppreciationModerator: Ribbon awarded to moderators of the forum - Issue reason: Best Moderator Award: Awarded for censoring all swearing and keeping posts in order. - Issue reason: Best ModMember of the Year: Awarded to those community members who have made invaluable contributions to the Community in the particular year - Issue reason: 2008Gold Medal: Awarded to those members with  maximum number of  reputation points. - Issue reason: For the year 2007, 2008, 2009, 2010, 2011Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason: More than 5 years of dedicated services
 
Join Date: May 2005
Location: Forest of Fallen Stars
Posts: 7,585
Thanks: 2,427
Thanked 15,848 Times in 5,006 Posts
Last Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardomLast Island is headed toward stardom
Default Ik Baar Phir Kaho Zara

Ik bar phir kaho zara,
Keh meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hai

Meri teera zindagi ka noor tu
Jannat-e-arzi, main rashk-e-hoor tu
Lazzat-e-jaan, rahat-e-qalb-e-hazeen
Ishrat-e-nazara, mehvesh, mehjabeen
Ik bar phir kaho zara,
Keh tu bohat haseen hai
Nigah main shabab ka khumar hai

Sharm kay parday main pinhaan shokhiyan
Muskurahat main nihaan hon bijliyan
Her ada teri mujhay merghoob hai
Dehr ki her cheez say mehboob hai
Ik bar phir kaho zara ,
Keh paiker-e-fani hay kya
Keh dil to teri rooh per nisar hai

Jism fani, husn bhi fani mera
Jazb-e-dil lekin hay lafani mera
Mard herjai hai her gul per nisar
Dil magar deti hay aurat aik bar
Ik bar phir kaho zara ,
Keh mujh ko ghair ka khayal
Tauba tauba sakht nagavar hay

Main vohi hoon, main badal sakti nahin
Doosray saanchay main dhal sakti nahin
Ab teray taiver, teray qaul aur hain
Main kahan ab qabil-e-ghaur aur hain
Ik bar phir kaho zara ,
Keh mera ishq Mehr aur maah
say ziyada paidar hay

Meray sir ki jhooti qasmain kya hooin
Zahiri ulfat ki rasmain kya hooin
Girya-e-paihem vo uljhan kya hui
Aanch ki tezi vo dharkan kya hui
Ik bar phir kaho zara,
Keh mera ishq Ustuvar
Rooh say ziyada ustuvar hai

Baandh ker ehd-e-vafa torra to kya
Sheesha-e-dil torr ker jorra to kya
Sub samajhti hoon magar maazoor hoon
Dil ki iss feryaad say majboor hoon
Ik bar phir kaho zara,
Keh meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hai
__________________
The Me you have always known, the Me that's a stranger still.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Last Island For This Useful Post:
unsolved_Mystery (Friday, February 04, 2011)