View Single Post
  #1  
Old Monday, February 14, 2011
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default Yaum-e-Muhabbat!

Yaum-e-Muhabbat!

Muhabbat kay gulaboan se, bahut gulnaar hain chehray
Har aik janib se yahi naghmaa fiza main gungunaata hai
bas aik fiqray mai sab ko dastan dil ki sunaata hai
ye kaisaa din hai,kaisi raat hai,kaisaa lamha hai ?
Kaho aae dilbaro, ye sansanaata kaisaa jazba hai
Basanti si hawain hain,ye kaisi apsarain hain ?
Yaqeenan, ye muhabbat kay jazeeray ki fizaien hain

Muhabbat kay gulabaon se bahut gulnaar hain chehray
chalo dilkash se is anmbwah main, hum tum bhi kho jain!
kaheen sabzay pe baithain, do ghari ik yaad kay daryaa main dobain

aur ubhrain aur khoajain!

Muhabbat kay gulabaon se bahut gulnaar hain chehray
ye fiqraa aik jaado hai
ye jumlaa koi khushbu hai
sunain aisa koi fiqra
kahian aisa koi jumla
Machal jaiy hamaray dil mai bhi
aisaa koi jazba
kalai per kisi ki baandh dain
rangeen sa dhaga
koi izhaar hum kardain
koi iqraar hum karlain
koi wada, koi paimaan
ab ki baar hum karlain
kay yeh din aur ye shab
saal main

Aik baar aatay hain.......!!!!!
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...
Reply With Quote