Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Farishtoon ki salami denay wali fauj gati thi,
Janab e Amina sunti thein, yeh awaz aati thi,
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Rehmatoon kay taj walay,
do jahan kay raj walay,
aarsh ki mairaj walay,
aasiyoon ki laj walay.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.
Mustafa khir ul wara ho,
sarware har do sara ho,
apnay achoon ka tasaduk,
hum badoon ko bhi niba ho.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.
Ho mubarak ahle imaan,
ho gayi subhay baharaan,
ho gaya har ghar charaghan,
Swalawatullah alaika.
Amina Bibi ka jaya,
baharwi tareekh aaya,
subhe saadiq nay sunaya,
Swalawatullah alaika.
As-tufailay Ghouse Azam,
Ganj Bakhsay faizay azam,
sadqaye Imam e Azam,
door houn sabh hi kay ranj o gham.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Jankani ke waqt aana
Kalimah taybah sikaana
Chehra eh anwar dekana
Hum koh imaan par utaana
Wasta aale aba ka
Sadaqah Bibi Fatima ka
Aur shaheed-e-karbala ka
Ghum na ho roze jaza ka
Jan kar kafi sahara
Le liya hai dar tumara
Khalq ke waris khudara
Kar qabul salaam hamara
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika ......
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...
|