Thread: Faiz Ahmad Faiz
View Single Post
  #21  
Old Sunday, March 20, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post
is ka background parhen pehlay;

"Lahu Ka Suragh and Zindan Zindan Shor-e-Anal Haq written on the occasion of firing on Karachi people protesting against the rigged election of Ayub Khan as president"

Meanings:

qulqul e maey:botel ya suraahi mein se pani ya sharab nikelnay ki aawaz

Anal haq;Talmeeh hai,ishara hai is tareekhi waqiaay ki janib;

Mansoor Al-Hallaj was condemned to hang by the neck for shouting in ecstasy Anal-Haq, Anal-Haq (I am the Truth, I am the Truth). The orthodoxy understood this to mean that he was claiming to be God himself, whereas he had proclaimed in his sublime spiritual ecstasy, simply a total annihilation of himself. Mansoor Al-Hallaj climbed the gallows with his head held high, not the least daunted by his imminent death. Nor could his shouts be drowned in the tumult of abuses which were hurled at him; they rose loud and clear and high Anal-Haq, Anal-Haq until his soul departed to the fountainhead of his life on high.

Tashreeh:
is sher mein shaiir kehta hai k sach ka sath denay walon aur zulm k khilaf awaz uthanay walon ka muqaddar qaid khana he banta hai.aur ye zulm k khilaf baghawat kernay walay log qaid khano mein b naara e haq buland kernay se baaz nahi aatay.shayir mulki halaat ki taraf ishara kertay hue kehta hai k kahin tou qaid khano se sada e haq sunai deti hai aur kahin mehfilon mein fateh k jashan manaye ja rahay hain.Anal haq k naaron ne zindaan k dar o deewar hila k rakh diye hain.baqol Habib Jalib;

wo bhi khaayif nahi takhta e daar se,
mein bhi Mansoor hun keh do aghyaar se
kiun daratay ho Zindaan ki deewar se
zulm ki baat ko jehl ki raat ko
mein nahi manta mein nahi janta


kahin logon ki tamannaon ka khoon kia ja raha hai,un ki hasraton ka gala ghoonta ja raha hai,unhe haq ki awaz buland kernay pe Mansoor ki tarah sooli charhaya ja raha hai aur kahin aish o nishaat ki mehfilen sajj rahi hain.kamyabi k jashan manaye ja rahay hain.shayir kaf e afsos malta nazer aata hai k dekho ye kesa tazaad hai?

kahin bajti hai shehnaai,kahin matam bhi hotay hain

kahin phool sajaye ja rahay hain,kahin ashk bahaye ja rahay hain.shayir kehta hai k kahin khushi k geet gaye ja rahay hain tou kahin saf e matam bichaye ja rahay hain.kahin hansi k phool khil rahay hain,kahin aansuon se chehray dhul rahay hain..kahin hukmaran fateh k nashay mein choor hain tou kahin mazloom aah o buka ker rahay hain.shaiyir ne sayaasi halaat ka bohat khoob nasha khencha hai.baqol Habib Jalib;

is dard ki dunya se guzer kiun nahi jatay,
ye log bhi kia log hain mar kiun nahi jatay
.
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
Muhammad T S Awan (Sunday, March 20, 2011), sibgakhan (Sunday, March 20, 2011)