View Single Post
  #4  
Old Monday, March 28, 2011
sibgakhan sibgakhan is offline
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

6. Mas'vini

Mas'vini ka lafz mushtiq hai 'mas'naa' se - Jis k maani hain do (2). chuna'chay istallah mein Mas'vini"aise sinf e nazm ko kahtay hain jis k her shair k dono misray hum qafia hon aur her shair k bad qafia badal jae"
Mas'vini mein lambay lambay qissay kahaniyan, jang o jadal k waq'yat aur lok kaniyan manzoom soorat mein paish ki jati hain. Is k ashaar ki tadad muka'rar nai. Mas'vini ki khoobi ye hai k is k ashaar mein bahmi rab't aur tas'alsul ho.

Agaaz o Irtaqa

Urdu mein Mas'vini ki sinf doosri isnaf ki tarah farsi adab se aaye. Aur Urdu mein is ka aghaz Dakan se he hua. mager dakan mein likhe janay wali Mas'viniyon mein sansikrat aur farsi ki Mas'viniyon ya qison k taraajum mojod hain. Dakan k 'Nizami Baedri ' ne masnivi "Pidam Rao" likh ker urdu adab main masvini ki intada ki.

Is k bad masvini nigari ki tarf shuaara ne tawaju di aur 'meer, Jur'rat, mus'hfi, Meer Hassan, Diya Shinker Naseem, Momon, aur Nawab Mirza Shoq' jaise masvini nigaar paida huay.

Meer Hassan ki masvini "Saher Ul Bayaan" k bad Naseem ki masvini "Gulzar e Naseem" he ko shuhrat hasil ho saki. Mirza Shauq ki masvini "Zaher e Ishq" main soz o gudaaz ne aik dilcha'sp kaifiyat paida ker di the.

jadded dour main Azad aur Haali ne is sinf mein woosat paida ker k is ki afadiyat to barha diya.

Hafiz Jhulan'dhari ka "Shaah nama e Islam" qabil e zikr masvini hai.
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to sibgakhan For This Useful Post:
SYEDA SABAHAT (Tuesday, March 29, 2011)