View Single Post
  #21  
Old Sunday, April 17, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Aah ko chahye ik Umer aser honay tak
kon jeeta hai teri zulf k ser honay tak


shayir:Ghalib

Tashreeh:

Shayir muhabbat k gham se nidhaal hai aur sard aahen us ka muqaddar ban gayi hain.wo kehta hai k mehboob tak dil ki baat pohanchana bohat mushkil hai.kehta hai k us ki aah mehboob pe be'aser hai.shayir kisi shama ki maanind muhabbat mein ghul raha hai mager mehboob ko is se kuch sarokaar nahi.shayir kehta hai k meri aahen abi tou mehboob k dil pe aser nahi kerteen.muddat lagay gi jab ye us k pathar dil ko pighlayen gi.baqol Iqbal;

dil se jo baat nikelti hai aser rakhti hai,
par nahi taaqat e parwaaz mager rakhti hai

doosray misray mein shayir is haqeeqat ka aitraaf kerta hai k mehboob ka dil jeetna mushkil he nahi balkay naa'mumkin hai.pehlay misray mein jo umeed ki kiran jhilmalati nazer ayi thi wo doosray misray mein naa'paed hai.shaiyir apnay mehboob k kathorpan se baa'khoobi waqif hai,ye he waja hai k wo kehta hai itni lambi umer nahi meri k tumhe apni muhabbat mein gariftaar dekhun.baqol bahadur Shah zafar;

Umer e daraz mang k laye thay chaar din,
do aarzu mein cut gaye,do intezaar mein.


zulf ko ser kernay ki tarkeeb bohat umdagi se shayir ne istemal ki hai.goya shayir mehboob ki zulf ko kisi choti ser kernay se kam nahi samjhta.baqol Ghalib;

ye na thi hamari qismat k wisaal e yaar hota,
ager aur jeetay rehtay ye he intezaar hota

______________________

aashiqi sabr talab aur tamanna be'taab,
dil ka kia rang karun khoon e jiger honay tak

Tashreeh:
is sher k pehlay misray mein shayir kehta hai k ishq wo lagan hai jis mein sabar kiye bagher koi chaara nae.jo is maidaan mein qadam rakh deta hai usay saoobten bardasht kernay aur apnay ranj o gham pe sabar kernay k liye tayar rehna chahye.baqol Momin;

chara e dil siwaye sabar nahi,
so tumharay siwa nahi hota


Phir shaiir kehta hai k aashiqi mein sabar ki zaroorat hoti hai aur meri tamanna,meri aarzoo be'qarar hai.yani mujh se ab sabar nahi hota aur mehboob ka wasaal mein jald uz jald chahta hun.

Le gaya cheen ke kaun aaj tera sabar-o-qaraar
Beqaraari tujhe, ae dil, kabhi aisi tou na thi

doosray misray mein shayir apni dili kaifiyat batanay k baad sawal kerta hai k ab wo ishq ka dard jiger tak pohanchay tak apnay dil ka kia rang karay?Goya shaair aik intehai dardnaak kaifiyat se guzer raha hai aur usay is dard se nibatnay ka koi tareeqa samjh nae aa raha.us ki yahan ye b muraad ho sakti hai k us ka dil kisi shama ki maanind jal raha hai
______________________


pertau e khor se hai shabnam ko fana ki taleem,
mein bhi hun aik anayat ki nazer honay tak.

pertau e khor:sooraj ka jalva muraad dhoop

Tashreeh:

shaiyir kehta hai k jesay sooraj ki roshni se shabnam ka qatra bhaap ban k urr jata hai aur us ka wajood baqi nae rehta,isi tarah mein b apnay mehboob ki nazr e karam ka muntazir hun.Goya shayir ye samjhta hai k mehboob ki nazer se wo bhi fana ho jaye ga.Usay apni hasti mitnay ka koi gham nae balkay wo is hasrat mein ghul raha hai k wo waqt kab aye ga jab mehboob ki nazr e iltafaat us pe paray gi.mehboob ki nazer shaiyir k lye sooraj ki tapish jesi hai.yahan shayir ki ye muraad bhi ho sakti hai k us k mehboob ki ankhon mein itni shokhi o shararat hai k wo pal bhar ko un ka samna nae ker sakta ya phr us ki ankhon mein jazbaat lau detay hain,aur in jazbaat mein itni hiddat hai k wo usay kisi shabnam k qatray ki tarah fana ker den gay.kisi shayir ne kia khoob kaha hai;

nigah e yar pe palkon ki gar lagaam na ho,
badan mein door talak zindagi ka naam na ho

__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
dicey (Sunday, April 17, 2011), Gulrukh (Sunday, April 17, 2011), mmawaqar (Monday, December 28, 2015), Waleed92 (Thursday, December 01, 2016)