View Single Post
  #25  
Old Sunday, May 08, 2011
DANISH_KHAN DANISH_KHAN is offline
Member
 
Join Date: Oct 2007
Location: In heart of everyone
Posts: 57
Thanks: 16
Thanked 59 Times in 28 Posts
DANISH_KHAN is on a distinguished road
Default

Pereshan Heran tha main eik Insan

Zindgi ka gulshan bhe tha wiran

Phir her eik phool jo yahan khila hai

Sub tere doyaun ka sila hai

Main itna kamzoor O ghustakh hoon Insan

Amal mera gunahoon sa hai bhara

Phir bhe rehmat ka derwaza jo muj per khola hai

Sub tere doyaun ka sila hai

Pat jhar thi her daal rahi thi sookh

Ghair tu ghair apne bhi rahe tha rooth

Phir yeh zindagi ko naiah rung jo mila hai

Sub tere doyaun ka sila hai

Zameen thi gharm paroon main bhi tha zakham

Haath tha khali aur ankeen bhi thee namm

Aursh-e-rehmat phir bhe mere lia jo hila hai

Sub tere doyaun ka sila hai

Mere maan muj ko jo khuch bhi mila hai

Sub tere doyaun ka sila hai

Maan ki shan he nirale hai

Iss se tu bud naseeb he khali hai

Zaat asee jis per ambian ko bhi fakhar raha hai

Rishta asa jis ka rub bhi gawah hai

Tere azmat main kale kamli bechai jai

Tere doa satwan asman pa jai

Tu jo aye same rub k haath phelai

Jaho jalal ous ka Reman O Rahim bun jai

Rab k siwa sajda rawa hota tu tuj ko hota

ous K siwa koi Khuda hota tu tuj sa hota

Zameen per bahisht hoti tu tuj se hoti

Asman per kizran hota tu tuj sa hota

Rutba itna ka janat tere paron main

AA insan tu kia dhoonta hai gharoon main

Maan ki kidmat ker k janat kma lay

Donya aur akhrat dono yaheen pa lai
__________________
Pukhtoon loves fighting but hates to be a soldier, Loves music but has a great contempt for musician, He is kind and gentle but hates to show it, Loves his new rifle and his old wife, hot-blooded and hot-headed and poor and proud with strange principles, Might be a loving friend or a deadly enemy. (Ghani Khan)
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to DANISH_KHAN For This Useful Post:
candidguy (Sunday, May 08, 2011)