View Single Post
  #16  
Old Tuesday, May 17, 2011
mhmmdkashif mhmmdkashif is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2006
Posts: 1,549
Thanks: 618
Thanked 1,122 Times in 674 Posts
mhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by Farrah Zafar View Post
Kasr e nafsi se kaam mat lijiye...I know your posts are thought provoking and serious too when you really mean.I remember "Marriage;follow Islam and society"

I'm looking forward to your expert views on "U.S ghulaami".Please
hmmm, ok, here are my words about it. angrez jab yahan pe hukoomat karte the tab unhoon ne aik type kaa military, administrative aur socio-political setup banaya, laikin ghor karne kee baat yeh hai ke koi economic setup nahin banaya. angrez ke military setup main military sirf aik unified force thi jo ke angrez ke hukum pe kaam karti thi. administrative setup angrez ke qanoon ke nifaz aur public order ko maintain rakhne waghera jaise kaam karta tha aur woh bhi angrez ke taabe tha. baqi raha socio-political system, woh angrez ne kuch is type kaa banaya ke local nawaboon, sardaroon, ethnic leaders, choti moti tanzeemoon waghera ke saath carrot aur stick policy jaari rakhi aur un ko local masloon kee had tak khudmukhtiari bhi diye rakhi, jis se woh apne apne ilaqoon main buhut powerful ho gaye. ab jab tak angrez yahan the tab tak woh khud hee is system kee nigrani kar rahe the aur kaam chal raha tha, asal masla tab paida hua jab angrez yahan se gaye (jis kaa buhut bara reason hitler kaa danda bhi tha ).

angrez kee hukoomat ke doran administrative setup angrez ke taabe tha, magar kisi azad mulk main yeh setup us ke socio-political environment ke taabe ho jaata hai. hona yeh chahiye tha ke azadi ke baad socio-political setup ko change ho jaana chahiye tha, magar aisa hua nahin aur wohi apne apne ilaqoon ke powerful log aapas main gath jor kar ke power sharing karte rahe. angrez ke dor main military setup angrez kee asal taaqat thi jo ke is socio-political arrangement ko qaboo main rakhti thi. angrez kee direct hukoomat khatam ho jaane ke baad asal aazadi military ko mili aur us ne apni dhons us socio-political setup ko dikhani shroo kar di. khair, yeh to aise hee chala aur chal raha hai, magar yahan pe asal masla saamne aata hai, woh hai economic setup kaa.

economy kee ihmiyat kee definition main yahan pe nahin deta . beherhal, kisi ne kaha hai ke "foj pet se larti hai " (sahi fiqra nahin yaad), khair military ko apna power maintain rakhne ke liye buhut saare equipment aur supply kee zaroorat hoti hai, aur us ke liye aik industrialized society aur industrialized socio-political nizaam kee zaroorat hoti hai, laikin purane socio-political nizam aur agrarian economic system ko cherne se military kee naye mulk main bani hui hegemony khatam ho sakti thi. is liye military ne shortcut ikhtiyar kiya aur equipments, technology, latest strategy waghera ke liye west aur washington kee taraf haath phelaye. yahan se ghulami kee shrooat ho gayi.

doosri taraf hamara socio-political nizam jo jaise chal raha tha waise hee raha. buhut saare locally powerful logoon kee mojodgi aur administrative setup ke un ke taabe hone kee waja se hamari society bilkul hee confusion kaa shikar ho gayi aur jo bhi thori buhut economic sakkat thi is mulk kee woh bhi kam hoti gayi. is kee waja se hamare yeh siyasi log bhi paise ke liye west aur washington kee taraf military ke saath hath phela ke khare ho gaye.

jahan tak awam kaa sawal hai to sab powerful logoon ne, military ke hoon yaa siyasi, awam ko sahi baat kabhi nahin batayi (kaise batate ke hum log doosroon kee khairat pe chalte hain ). aur awam ke jazbaat ko doosre mulkoon ke saath negotiations ke doran cash karate rahe, baqi awam ko apne maqasid ke liye aapas main uljhaye rakha.

ab baat fazool lambi ho gayi hai, mere khayal main saara masla isi baat main chupa hai, jab tak yeh setup qaim rahe gaa tab tak Pakistan kisi na kisi ke aage haath phelaye hee rahe gaa, washington, yaa beijing yaa riyadh yaa koi aur...
__________________
The precondition for existence of a higher humanity is not the state, but the nation possessing the necessary ability.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to mhmmdkashif For This Useful Post:
Farrah Zafar (Tuesday, May 17, 2011)